Matam e Hussain
- Minhal Ali Rizvi (2024)
Matame husain matame husain
Karo matame husain
1-Mil k kro ae momino matam husain ka
Rukne na paye gham ye shahe mashraqain ka
Her ja ho naam Zahra k is noore ain ka
Ho zikr her jagah yuhi haider k chain ka
Hargiz na bhulna kbhi qurbaniye husain
2-buniyad daali zainabe ulya maqam ne
Barpa ise kiya mere chauthe imam ne
Matam kiya h shah ka her tashnakam ne,
Baqar ne or abide khairul anaam ne,
Zinda hain sabke sino me ha shahe mashraqain
3-qurbe khuda dilata hai matam ye shah ka
Rooho ko paak krta hai matam ye shah ka
Taqdeer ko banata hai matam ye shah ka
Baghe Eram dilata hai matam ye shah ka,
Ha ye Amal h deene mohammad ka zebo Zain
4-Bhulenge hum na Shah kbhi apka sabaq
Gharbaar lut bhi Jaye to chhoro na raahe haq
Merziye kirdegar pe hergiz kro na shak
Rakh do ulat k arshe sitam k sabhi tabaq,
Ta hashr tumko royenge maula hamare nain
5-Matam kiya h dasht me Zahra ne Shah ka
Turbat me shahe Deen pe roye hain Mustafa
Girya kuna the arsh pe bete pe murtuza
Tadpe hain inke qatl pe jinno malayeka,
Rota hai kul jaha ye tumhe fatima k chain
6-Hatta nii nigaho se wo dashte karbala,
Mayyat pe apne bacho ki matam wo maao ka,
Roti hui jawan k lashe pe Mamta
Zakhmi sitam k teer se nanha sa wo gala,
Yaad aate hain wo dasht me binte nabi k bain
7-Ta umr bahen ne Kiya matam husain ka,
Yaad aata tha jo bhai ka sookha hua gala
Minhal gham ye bhuli nahi binte murtuza
Is gham me kooch kr gyi ik din wo ghamzada
Barpa tha ae suhail her ik samat shoro shain