NA CHOR KE JAO BABA
- Haider Ali Hasnain Rizvi (2024)
Ek Sada Deti Thi Zainab Ek Sada Dete The Abbas
Na Chor Ke Jao Baba Na Chod Ke Jao Baba
1) Amma Toh Bht Pehle Hme Chod Gyi Thi
Us Waqt Musibat Ye Badi Hum Padi Thi
Baba Tumhe Maloom Hai Wo Kaisi Ghadi Thi
Dushwar Tha Jeena Baba Na Chod Ke Jao Baba
2) Ab Baap Ka Saya Kahi Uth Jaye Na Sar Se
Masoom Se Bacho Ka Sahara Hai Pidar Se
Ye Sach Hai Ke Har Ghar Me Ujala Hai Pidar Se
Ho Jayenga Phir Ghar Soona Na Chod Ke Jao Baba
3) Tum Jate Ho Ab Ghar Me Wo Ronak Na Rahengi
Kulsoom Bhi Ab Dard Baya Kisse Karengi
Amma Ki Tarha Chod Hume Jate Ho Tum Bhi
Kis Kaam Ka Hai Ab Jeena Na Chod Ke Jao Baba
4) Na Mane Musalman Ye Amma Ko Satakar
Jane Kya Mila Baba Tumhe Zarb Lagakar
Kis Tarh Musibat Me Ghire Hain Yaha Aa Kar
Raas Aaya Na Humko Koofa No Chod Ke Jao Baba
5) Ye Dekh Ke Roti Rahin Shahzadiye Konain
Khamosh Hai Lab Or Nhi Dil Ko Khi Chain
Rote Hue Baba Se Yahi Kahte Hai Hasnain
Ho Aap Hi Meri Duniya Na Chod Ke Jao Baba
6) Naraz Ho Baba Kya Hume Kuch Toh Batao
Apne Dile Muztar Ka Bayan Kuch Toh Sunao
Is Tarha Se Tanha Na Hume Chod Ke Jao
Padhte Hai Ye Sarwar Noha Na Chod Kar Jao Baba
7) Rooti Hai Zamee'n Aur Udasi Hai Falak Par
Kis Tarha Bayan Hoga Aman Humse Ye Manzar
Hasnain Se Ramza,N Me Juda Hote Hain Haider
Tha Sabke Labo Pe Nouha Na Chod Ke Jao Baba