Tehrir e Hasan (AS)
- Minhal Ali Rizvi (2024)
Tehrir e Hasan
Qasim ko sheh se izne wegha jab na mil saka
Aakr ke aik goshe me krne Lage buka
Pahuchi nigaah shano pe apne jo barmala
Khush hoke chal diye wo sue shahe karbala
Dekha jo sheh ne aata hai bhai k dil ka chain
Taweez-e bhai dekh ke rone Lage husain
Tahreere Hasan padhte Hain sheh sir ko jhukaye
Allah kisi bhai pe ye waqt na laye
Likhha h Hasan ne ye baname shahe Safdar
Aaye jo paye izne wegha mera dilawar
Mat rokna tum Jung se qasim ko baradar
Taraj jo hota hai to hojaye mera ghar
Ae bhai magar tumpe koi harf na aaye
Qismat me nahi tha ae akhi sath hamara
Zinda jo mai hota to sipar Banta tumhara
Thokar jo tumhe lgti to deta mai Sahara
Krta na kbhi tumse mai ae bhai kanara
Allah tumhe bhai her aafat se bachaye
Maana k jawa'n h abhi qasim mera Jani
Per dee'n k na kaam aaye to kaise ye jawani
Kya arzu is zeest ki ye zeest hai fani
Tuf aisi shujaat pe hai gir mange ye pani
Bach jaye ye Dee'n chahe pisar khoo'n me nahaye
Ae bhai na taqdeer kre zulm ye mujh per
Qasim to rhe khaime me or qatl ho Asghar
Ghalta'n ho lahu me meri zainab k gule tar
Dariya se mera Bhai bhi aaye na palat kr
Or yousufe shabbir sena sine pe khaye
Jeeta rhe beta mera pyasi ho sakina
Jeena hai agar ye hi to kis kam ka jina
Ye baithe rhe khaime me ae shahe madina
Or taane tumhe deta rhe shimr kameena
Ye saate gham mujhko na allah dikhaye
Minhal jo tahreere Hasan padh chuke maula
Suhail bhatije se ye bole shahe wala
Hai hukm jo bhai ka to shabbir kahe kya
Jao mere bete k khuda ko tumhe sounpa
Kis kis ki husain ibne ali lash uthay