Woh hai sakina

- Minhal Ali Rizvi (2024)


Wo h sakina wo h sakina

Jispe sitam yu hue bade shahe karbala
Kano se bunde chhine kurte ka daman jala
Shimr ka rukhsar pe jiske tamacha laga
Jisko zamane ne ik qatra na pani diya
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Roti rhi yaad me baba ki jo umr bhar
Puchhti thi maa se ye baba kab aayenge Ghar
Rooth gye mujhse kyu Haye shahe bahro bar
Amma meri jaa'n hi na le le ye yaade pedar
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Jisne jawa'n bhai k sine me dekhi sena
Mar gaya peshe nazar bhai bhi ik be zaba'n
Aur chacha abbas bhi laut k aaye kaha'n
Chhut gaye ik Roz me sare hi peero jawa'n
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Dekha hai jisne dhuan khaimo se uthte hue
Sir se reda maao or phuphiyo ki chinte hue
Bistare beemar ko sholo me jalte hue
Pushte pe her aik ki durre braste hue
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Uspe rahe sham me Haye hui yu jafa
Pusht se naqe ki jab bachi ko bandha gya
Ho gya chhalni badan haye Jo naqa chala
Apne chacha jaan ko deti thi Roker sada
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Jiske watan jane ka pura na arma'n hua
Krti rhi yaad me sheh ki jo aaho buka
Jisko na phirse kbhi baba ka sina mila
Sham k zindan me aagyi jisko qaza
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sitam

Bachi pe Minhal jo toote hain zulmo sitam
Haye suhail e hazee kaise bhala ho raqam
Ab bhi sada aati hai sham se ye du ba dum
Aake khabar lo Zara meri ae shaahe umam
Jispe toote hain Alam jispe yu hue sita