Kya kare zainab
- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)
Haye,
Shame ghareeba'n..(2)
Jal gaye khaime, so gaya lashkar
lut gaya saara ghar Zainab ka
ab hai tanha,
na sarwar hai, na akbar hai, na ghazi hai
Laee'n naize se chadar cheenta hai kya kare Zainab..(2)
Thi jis bhai se dharas..(2)
mar gaya hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
1. Manata hai khushi zalim dikhata hai mujhe khanjar
bula Abbas ko apne, ye kehta hai wo has has kar
lahu chadar se meri..(2)
pochta hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
2. Tere har zarb ka ghazi behen se lega wo badla
laee'n khaime me aaya hai, utha kar haath mein durra
tumhi binte ali ho..(2)
puchta hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
3. Badi ghurbat ka aalam hai bandhe hai haath gardan se
bujhaye aag wo kaise sakina tere daman se
aur ab zalim tamacha..(2)
maarta hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
4. Kaha Zainab ne Abid se, Imam e waqt batlaye
yahi'n khaimo me jal jaye? ya hum bahar nikal jaye?
utho Sajjad mushkil..(2)
marhala hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
5. Kaha ye saad ke bete ne aakar ibn e nofil se
safar me chahe sab soye, magar Zainab nahi soye
abhi se warm rukh par..(2)
aagaya hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
6. Use ek maa ki tarha apne seene se laga leti
rasan hatho'n me na hoti, to girne se bacha leti
sare ghazi sina se..(2)
gir raha hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
7. Koi apna nahi tanha khadi hai dasht mein dekho
kafan kaise de atthara(18) bani hashim ke laasho ko
madina to nahi yeh..(2)
karbala hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
8. Kaha'n ho laal aajao tumhe maa yaad karti hai
utha kar raakh hatho'n mein Rabab ek simt baithi hai
Ali asghar ka jhula..(2)
jal gaya hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..
9. Hai pehli shab yateemi ki use neend aayegi kaise
aye zeeshan o raza bali sakina soti thi jis pe
wo seena ran mein teero..(2)
se bhara hai, kya kare Zainab
Laee'n naize se chadar..