Qatl gah e Imam hussain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)


Husain walo suno yeh hai qatl gahe Hussain
Tadap raha tha yehi par Ali ke dil ka chayn
Isi maqam pe Zehra yeh kar rahi thi bayn
Na qatl kar meri godi mein mera Noor-e-Ain
Yahan talak suno kaise Hussain aaya tha
Laee'n khainch ke baalo'n se usko laaya tha

Tamaacha maar ke seene pe jab sawar hua
Tadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kaha
Utar ja seene se zalim, na zulm kar aisa
Hai mere seene pe bas haqq meri Sakina ka
Yahan pe aayi to mar jaayegi woh ro ro kar
Sakina dekh na le tujhko mere seene par

Haye,
Kabhi badan pe woh khanjar se waar karta tha
Kabhi Hussain ke zakhmo'n pe khaak daalta tha
Phir apne paon se zakhmo'n ko jab masalta tha
Ali ka beta wahan baar baar marta tha
Ghareeb-e-Zahra jab Abbas ko pukarta tha
Laeen daarhi pakad kar tamaacha maarta tha

Isi maqam se sattar qadam thi door bahan
Pukarti rahi, Na kaat Shimr sookha dahan
Tu jaanta hai bohot door hai hamara watan
Main leke aoongi uske liye kaha'n se kafan?
Waha'n Hasan ko mile do kafan, mein bhooli nahi
Yaha'n Hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahi

Zabaan khushk hai, zakhmi hai iski peshaani
Jawaan betay ke qaatil ne maari hai barchhi
Hazaaron zakhm yeh kha kar gira hai thak ke abhi
Hawa hai garm, zameen tap rahi hai maqtal ki
Pila de paani, Mohammad ka yeh nawasa hai
Hai munh khula hua, na jaane kitna pyaasa hai

Aye rone walon, yeh dil thaam kar suno manzar
Chali chhuri to rakha haath maa ne ro ro kar
Gala samajh ke woh karta tha waar gin ke magar
Haan zakhm aate rahe Fatima ke haatho'n par
Hussain kehte the, "Amma hata lo haath amma"
"Gale pe chalne do khanjar, bacha lo haath amma"

Tadapte reh gaye maqtal mein dono maa-bete
Gale pe Shah ke zalim ne tera(13) waar kiye
Bayaan haal ho Zeeshan aur Raza kaise
Abhi talak to behen uth rahi thi gir gir ke
Sar-e-Hussain kata dekh na saki Zainab
Zameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab

Zameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab