Hussain maqtal mein chup khade hai
- Shahid Baltistani (2025)
Aaj shabbir pe kya aalam e tanhayi hai
zulm ki chand pe Zahra ke ghata chayi hai
Aaj shabbir pe kya aalam e tanhayi hai
Haye..
Hussain, Hussain, Hussaina..
Hussain, Hussain, Hussaina..
Hussain, Hussain, Hussaina..
Hussain, Hussain, Hussaina..
Hussain, Hussain, Hussaina..
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
Lahu lahu hai libas saara..(2)
Mere khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
1. Ajeeb manzar hai karbala ka
zamee'n pa bikhre pade hai laashe
yaha'n hai sadaat pe musibat
waha'n laee'n peet-te hai taasha
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Udasiya'n padh rahi hai nauha..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
2. Ghareeb e Zahra ke rukh pe Asghar
ka khoon e na haq laga hua hai
abaa ka daman jawan akbar
ke khoon se ghilta ho chuka hai
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Nazar jamee'n hai sue sakina..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
3. Hussain mal mal ke apni aankhein
zameen par dekhe jaa rahe hai
hai ek gathri jo khoo'n me tarr hai
usi pe aansu baha rahe hai
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Ye gathri qasim ka hai sarapa..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
4. Behen ke bacche, jawan bhai
jawa'n bhatija guzar chuka hai
na ab hai ansar koi baqi
habib bhi ab to mar chuka hai
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Ke ghar ka ghar lut gaya hai saara..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
5. Hai murtajiz saath saath sheh ke
Imam ke ird gird ghumta hai
kabhi pakadta hai sheh ka daman
kabhi woh qadmo ko chumta hai
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Hai sheh ka ghoda bhi mehve girya..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
6. Hussain mud mud ke dekhte hai
khayal Zainab ka aa raha hai
ke aane wali hai sham e ghurbat
jabhi to dil dooba jaa raha hai
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Bachega kaise haram ka parda..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)
7. Hame hai yasir raza ye dharas
ke muntaqim hai Imam e Mahdi
yazeediyo se khud aake lenge
Hussain ka inteqam Mahdi
haaye haaye haaye..
ghareeb e Zahra, ghareeb e Zahra
Wo sochkar kar rahe hai girya..(2)
Mere Khudaya,
Hussain Maqtal mein chup khade hai..(2)