Dooba Huwa Farzand Ka Lasha
- Syed Ali Arbaz Jafri (2025)
Dooba Huwa Lahoo me hai Farzand Ka Lasha
Do Maa Ki Tamanaoun Ka Yeh Khoon Huwa Hai
1- 18 Baras pala tha jis naunehal ko
Hasrat sai dekhtai sabhi Jiske Jamal Ko
Aya hai lasha khaimai mai us noor-e-ain ka
2- Barat Saj Nay Payei us naujawan ki
18 Saal jo huwi to mout agaie
afsoos shahzada zinda nahin raha
3- Haye Magar Naseeb Nai Mouqa nahin dia
seenay pay kha kai neeza woh maqtal mai girgaya
arman dono maa'on ka mitti mai mil gaya
4- Maa'on ka kuch bacha nahin hoosho hawas hai
Nazoron kai samnai ali akbar ki lash hai
kaisai sakoon payei woh beta nahin raha
5- Ab tak thein dono maa'ein (mother) barabar guman mai
aik samt sir ko peet tien zainab-e-nazar
noushah ban kai niklayga shehzada jab mera