Ya haider-e karrar
- Shabbir and Abbas Tejani (2005)
Ya haider-e karrar
(Ya haider-e karrar) x9
- Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
- Masjid udaas mimbare kufa udaas hai
- Masjid me rozadar par kaysa sitam huwa
- Haay haay yateem Shabbar-o-Shabbir hogaye
- Duniya mei bekaso ka sahara nahi raha
- Maula mera jo khoon me apne naha gaya
- Zehra lahad me roti hai Haider ke waste
- "Rehan" mere saath me rone lagaa kalam
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Tar khoon me khuda ke wali ka libaas hai
Rota hai asmaan zami(n) ghamse phat gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Kabe se aa rahi hai sadaa wa musibata
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Abbas dilko thaamke rote huwe chale
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Utraa tha jo falak se sitara nahi raha
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Bole farishte haye ye kaisa sitam huwa
Hurrain ye roke kehti thi duniya ujargayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Kehti hai cheyn kabr ke andar nahi muje
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
Aankho se mere jaari huwe ayse ashke gham
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6