Goonjti hai ye sada

- Hasnain Abidi (2025)


Husaina Husaina, Haaye Husaina
Asr Ke Hangaam Mein Goonjti Hai Yeh Sada

1. Ho Gaya Paamaal Jab Qasim(as) Ibn-e-Hasan(as)
Bain Yeh Karne Lagi Laash Pe Maa Khashta Tan
Nargah-e-a'daa Mein Ab Ghir Gaya Tera Chacha
Husaina Husaina, Haaye Husaina

2. Hazrat Abbas(as) Ke Jab Hue Shaane Qalam
Aa Ke Laashe Pe Yeh Kehte The Shah-e-Umam
Asr Ko Kat Jaaye Ga Ab Mera Pyaasa Gala
Husaina Husaina, Haaye Husaina

3. Marne Se Abbas(as) Ke Toot Gayi Hai Kamar
Mar Gaya Beta Jawaan, Kuch Nahi Aata Nazar
Zulm-o-Sitam Dhaate Hain Dasht Mein Ab Ashqiya
Husaina Husaina, Haaye Husaina

4. Sajda-e-Aakhir Mein Jab Tu Ne Jhukai Jabeen
Karnay Juda Sar Tera Aa Gaya Shimr La'een
Peet Ke Sar Charkh Par Kehne Lage Ambiya
Husaina Husaina, Haaye Husaina

5. Teri Museebat Pe Bhi Reham Na Khaya Koi
Pher Di Beta Tere Sookhe Gale Par Chhuri
Padhti Hain Nauha Yehi Laash Pe Ab Fatima(sa)
Husaina Husaina Hayye Husaina

6. Ay Shah-e-Karbobala Dekh Ke Ghurbat Teri
Seena-o-Sar Peet Kar Roti Hai Khud Bebasi
Ghordon Se Pamaal Ab Hoyega Laasha Tera
Husaina Husaina Hayye Husaina

7. Laasha-e-Mazloom Par Karti Hai Zainab(sa) Yeh Bain
Bin Tere Bhai Mujhe Kis Tarah Aayega Chain
Pochnay Wala Yahan Ab Nahin Koi Mera
Husaina Husaina Hayye Husaina

8. Padhta Hai Hasnain Jo Ro Ke Yeh Nauha Nazar
Aur Azadaron Ka Phat'ta Hai Gham Se Jigar
Kehke Yehi Fatima(sa) Deti Hain Sab Ko Dua
Husaina Husaina Hayye Husaina