Mai yeh nahi kehti
- Nadeem Sarwar (2002)
Ghar se Jane lage shabbir to sughra ne kaha
Le chalo mujhko bhi beemar tumhe degi dua
Ho jaana khafa raah mein gar royegi sughra
Yaha neend kab aati hai, jo waah soyengi sughra
Baba.. Baba..
Tanhayi saza hai mujhe, aisi na sazaa do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do..(2)
Baba.. Baba..
Baba mujhe fizza ki sawari mein bitha do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
1. Sab bethe sawari mein, mai pedal hi chalungi
Waada hai kisi ko koi, takleef na dungi
Baba.. Baba..
Ammaa se me hargiz na kahungi ke dawaa do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
2. Palko se mai saaya ali asghar ke karungi
Ammaa ki sawari se, bahot dur rahungi
Baba.. Baba..
Haa kehke meri zeest ke kuch roz badhado
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
3. Mai paani pilaungi, sawaari ko tumhari
Behlaungi raste mein, sakina ko tumhari
Baba.. Baba..
Jo kaam kanizo ke hai, sab mujhko bataa do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
4. Sab nazre churaate hai, koi dam nahi bharta
Sach hai koi murde se, mohabbat nahi karta
Baba.. Baba..
Taukeer meri ye hai, to marne ki dua do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
5. Kya guzregi jab gharse, chale jayenge akbar
Kaise mujhe har baat me yaad ayenge akbar
Baba.. Baba..
Kab ayenge lene mujhe, bhayya ye bataa do.
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do
6.Haa apni mohabbat ka mai, izhaar to karlu
Thehro ali asghar ko, zaraa pyaare to karlu
Baba.. Baba..
Naaqe se jhalak nanhe musafir ki dikhado.
Baba.. Baba..
Baba mujhe fizza ki sawari me bitha do
Mai.. yeh nahi kehti ke, amaari mein bitha do