Nasheb Me

- Abbas Ali Aarfi (2024)


Nashab me noha lyrics

(1) sunsaan ban wo raat wo uth'ta hua dhuan
nikli padar ko dhoondne nanhi si ek jaan
kehti thi baba jaan bata do ke ho kahan
ek laash bol uthi meri beti mai hoo yahan
lekar isi sada ka sahare pahunch gayi
roti hui nasheb may dukhiya pahunch gayi

be-sar jab apne baap ko dekha nasheb may
royi bahot yateem sakina nasheb may

(2) maqtal may laash baap ki jab sar kati mili
thi umr char saal ki bachi tadap gayi
beti jab apne baap ko pehchan na saki
awaaz ya abaa ki sakina ne ro ke di
laasha ghareeb baap ka bola nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(3) likha hai raawiyon ne wo manzar bada ajeeb
jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb
awaaz sun ke baap ki pahunchi hai jab khareeb
haalat pidar ki dekh ke royi bahot ghareeb
beti ke saath baap bhi roya nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(4) aage badi hussain ki mazloom ghamzada
teero se jism baap ka dekha bhara hua
ghabra ke teer jism se karne lagi juda
kamsin thi koi teer na us se nikal saka
paaya na jab hussain ka seena nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(5) khaali na paayi jism pe teeron se koi jaa
karne lagi tawaaf wo baba ki laash ka
mayoos ho ke payinti baithi wo ghamzada
rukhsaar apne baap ke talwon pe rakh diya
le kar padar ke paaon ka bosa nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(6) apne pidar ki laash pe le le ke siskiyan
wo apne dard baap se karne lagi bayan
rukh par bani thi saaf jo zaalim ki ungliyan
bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo nishan
zakhmi badan hussain ka tadpa nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(7) phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba
mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba
maara zaalim ne mujhe aisa tamacha baba
cha gaya meri nigahon may andhera baba

(8) kehti thi mai yateem hoo mujh par na waar kar
ki minnatein bahot ki zara intezaar kar
mai de rahi thi shimr ko bunde utaar kar
cheene hai be rehm ne magar mujhko maar kar
ye dard jab pidar ko sunaya nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...

(9) waiz likhega kaun yateema ki bekasi
laashe shah e zaman se wo jis dam juda hui
lagta tha ab jiyegi na bachi hussain ki
jaane lagi nasheb se jab sheh ki laadli
baba ko apne chod ke tanha nasheb may
royi bahot yateem sakina...
be-sar jab apne baap ko...