Qaid Khane Me Andhera
- Tufail Abbas Rannavi (2023)
Qaidkhane Me andhera ye sakeena ne kaha
Nind aati nahi baba ye sakeena ne kaha
Aayi Jab Shame Ghareeba To Andhera Chaya
Shimar Ne Aag Laga kar Hai Sitam Ye Dhaya
Jal Gaya Chota Sa Jhula Ye Sakeena Ne Kaha
Aag Kurte Me Lagi Rukh Pe Tamache Mare
Baba Zalim Ne Mere Kan Se Bunde Chine
Dekha Jab Baap Ka Lasha Ye Sakeena Ne Kaha
Baba Mai Peyasi Rahi Pani Ka Shikwa Na Kiya
Mujhko Dikhla Ke Mere Samne Pani Fenka
Fat Ta Hai Gham Se Kaleja Ye Sakeena Ne Kaha
Unt Ki Pusht Pe Rassi Se Mujhe Bandha Gaya
Jism Se Khun Tapkta Hai Mere Aye Baba
Zakhm Se Phtta Hai Seena Ye Sakeena Ne Kaha
Baba Mai Panjo Pe Chalti Rahi Ye Kahe kahekar
Ek Rasan 12 Gale Aur Fuffi Be Chadar
Kitna Purdard Hai Jumla Ye Sakeena Ne Kaha
Yaad Aati Hai Har Ek Sham Mujhe Baba ki
Kab Rihaai Hame Zinda n Se Mayassar Hogi
Khaye Jaata Hai Andhera Ye Sakeena Ne Kaha
Baba Rukhsar Pe Zalim Ke Tamachon ke Nisha
Baba Kano Se Mere Aaj Talak Khun Hai Rawan
Qaid zinda Me Hoon Tanaha Ye Sakeena Ne Kaha
Ye Tufail Aur Aazadaron Ki Gunaji Hai Sada
Ho Karam Ahele Aza Par Ya Janab E Zahara
Kitna Purdard Hai Noha Ye Sakeena Ne kaha