Be Goro Kafan Ran Main

- Mustafa Sultan Badami (1993)


Be Goro Kafan Ran Main, Farzande Payambar hai
Balwe Main Nabi zaadi, be makhnao chadar hai x2

Abbas tumhi uth kar syed ko sahara do x2
Shabbir ke kandhe par x2
lashe ali akbar hai

Shayar ki nigahon main, asghar ka tadapna hai x2
Lipti hui jhule se x2
besheer ki madar hai

Saqqaye Sakina ko koi ye khabar karde
x2
Be Haal Tamachon se x2
Shabbir ki dukhtar hai

Darya pe koi jakar Abbas se ye kehde x2
kaunain ki shahzaadi x2 
Maqtal main khule sar hai

EK roz jo kufe ki kehlaati thi Shahzaadi x2
Afsos wahi zainab x2 
Balwe main khule sar hai

Woh bibiyan Haider ki Mohtaaj hai parde ko x2
Jin ke liye quran main x2 
Tatheer ki chadar hai

Navak se jise chedha woh fatima ka dil tha x 2
Zalim ne yahi jana x 2 
Qalqe Ali ashgar hai

kis kis ka kare matam, kis kis liye roye
x2
Gham khwar bahattar ki x2 
Ek zainab e Muztar hai