Sabr Maula Ka Dikhaya Jayega
- Abid Musa Rizvi And Humnawa (2022)
zulm ada ka bataya jayega
sabr maula ka dikhaya jayega
Kiya bhaynak raat hain ashoor ki
Kal nabi ka ghar lutya jayega
Nehar par ek mashk chedi jayegi
Khoon Pani mai bhaya jayega
Tashna lub Abbas mare jayenge
Kohe gham sarwar pe dhaya jayega
shah se chena jayega aakhon ka noor
Baap se beta churaya jayega
Barchiya akbar ko mari jayengi
Umme Laila ko rulaya jayega
Ambiya niklenge rote qabr se
yu Nabi ziyada rulaya jayega
Shah ghode se giraye jayenge
Arsh e azam ko hilya jayega
shah ko fikr hai apney col ki
Jud ki ummat ko Bachaya jayega
Zindagi toh khak Hai Asghar ke baad
Uska lasha bhi uthaya jayega
Rahe haq mai sir Kate ya Ghar lute
Assiyo ko bakshwaya jayega