Mere Bhai Abbas

- Ali Raza Irani (2023)


Abbas abbas mere abbas

Mashk sahil pa chidi sher ke jab haath kate
Sar pa ek gurz pada girne laga ghode se
Jism par haath na the hatho ko jo tek sake
Uski aawaze salam aai to shabbir chale
God me sar liya abbas ka kah kar roye

Mere bhai mere abbas
Mere ghazi mere abbas

Roke sarwar ne kaha mujh se hote ho juda
Mujhko aqa na kaho bhai ab kah do zara
Hai alam lkhun me bhara ho gaye hath juda
Tum se sharminda hu mai na dia izne wagha

Mere bhai mere abbas

Waqt hai reukhsat ka dil hai tamannai
Apni zaban se tum mujhko kaho bhai
Lo na abhi bhayya maut ki angdai
Pyasi tamanna ki pyas na bujh pai
Haye ab tak to mujhew tum ne kaha hai aaqa

Mere bhai mere abbas

Maine tumhe bhayya jhgula jhulaya hai
Bahon me le lekar dil se lagaya hai
Ungli pakad kar bhi chalna sikhaya hai
Mujhse vidai ka waqt ye aaya hai
Haye kuch der me chuth jaaoge mujhse bhayya

Mere bhai mere abbas

Haath jo baba ne mujhko thamaye the
Chume the maqtal me roke uthaye the
Sar se lagaye the dil se lagaye the
Kaise qadam maine aage badhaye the
Haye kis haal me hoon aaj mai tum tak pahucha

Mere bhai mere abbas

Tum pe sakina ko kitna bharosa hai
Pyas hai hotho par haath me kuza hai
Kahti hai baccho se paani ab aata hai
Tum pe jo guzri hai usko khabar kya hai
Mai sunani jo sunaunga to dil tutega

Mere bhai mere abbas

Kaise jiunga mai tum se juda hokar
Kaise uthaunga lashe jawan akbar
Khaime me launga lashe ali akbar
Kaise sambhalunga royegi jab maadar
Ye kamar tuti hui leke hi mar jaunga

Mere bhai mere abbas

Pyasi sakina se milne na jaoge
Kaise kate bazu kuch na bataoge
Khun bhara chehra kya na dikhaoge
Sab se juda hokar sab ko rulaoge
Hoga afsos ke har khaime me matam barpa

Mere bhai mere abbas

Ahle sitam mujh par teer chalaenge
Sang bhi marenge naize lagayenge
Khun ke pyase hai khun bahayebge
Pushte faras se bhi mujhko giraynge
Hoga sar tan se juda mai jo karunga sajda

Mere bhai mere abbas

Bhai ne jab fidvi shah ko kaha bhai
Aai raza usko maut ki angadai
Sukhi zaban haaye kitni thi tharrai
Karne lagi matam shaah ki tanhai
Bhai sun kar bhi kia bhai pe kitna giriya