Ye Sitam Sayyade Sajjad Uthaaye Kaise
- Mohammad Hasnain And Partners (2000)
Haaye Mera Bimaar.....
Ye Sitam Sayyade Sajjad Uthaaye Kaise
Leke Maa Baheno Ko Bazar Me Jaaye Kaise
1) Bhai Bimaar Bhi Hai Bekaso Laachar Bhi Hai
Tauk-o-zanjeer-o-salasil Me Giraftaar Bhi Hai
Woh Sakina Ko Tamacho Se Bacahaye Kaise
2) Bhai Ke Saamne Kiss Haal Me Hai Choti Bahen
Dam Ghuta Jata Hai Kasti Hai Jo Gardan Me Rasan
Saans Bhi Aaye To Iss Haal Me Aaye Kaise
3) Har Aziyat Dile Mazloom Ko Tadpaati Hai
Din Me Dhoop Aati Hai Aur Raat Me Oos Aati Hai
Koi Zindaan Ki Tasweer Bnaaye To Bnaaye Kaise
4) Khoo'n Bhara Kutra Badan Par Hai Kafan Ki Surat
Dekhkr Ro Diye Sajjad Bahen Ki Surat
Qaid Me Kafan Ka Samaan Aaye To Aaye Kaise
5) Bekafan Choti Se Ek Laash Tadap Jati Hai
Bekasi Sirf Isi Baat Ko Dohraati Hai
Kabr Sajjad Sakina Ki Bnaaye To Banaye Kaise
6) Kisi Surat Me Bhi Puri Na Wasiyat Hogi
Nam Zami Me Na Muyassar Mujhe Turbat Hogi
Zakhm Sajjad Bataye To Bataye Kaise
Ye Sitam Sayyade Sajjad Uthaaye Kaise
Haaye Mera Bimaar