Sin Kam Hai Sakina Ke Masaib Hain Zyada
- Farhan Rizvi (2025)
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
1) ho kaise bayan ahle aza hale sakina
Dil rota hai sun sun ke tadapta hai kaleja
Tarikh me dekhi na koi aisi yateema
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
2) ho lakhon Salam ahle aza tashnajigar par
Jo nake pe bandhi gai rassi se jakad kar
Padhta hai zamane ka imam aaj bhi noha
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
3) dhate hai laien zulm e sitam bacchi pe itne
Me sochti hu zinda ye reh payegi kaise
Hai khouf ke sadmo se na mar jaye yateema
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
4) dekhi nahi jati hai tamacho ki aziyat
Reh reh ke badal jati hai rukhsaro ki rangat
Is tarah se zalim ne lagaya hai tamacha
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
5) nanha sa gala kas ke rasan me to bandha hai
Kurte ka yateema ke ye daaman bhi jala hai
Kano se lahu ab bhi hai reh reh ke tapakta
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
6) zainab ne phir ek baar ye ghazi ko sada di
Hai sakht masayeb me giraftar bhati ji
Halat to yateema ki zara dekh lo bhaiya
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
7) mushkil se bhut saans jo ghut ghut ke hai leti
Nanha sa gala dukhta hai aawaz hai aati
Ab jayada dino reh nhi payegi ye zinda
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
8) rone pe hai pabandi bhala kis tarah roye
Jakda hai jo rassi me gala kis tarah soye
Soti hai to nanha sa gala or hai dukhta
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
9) likhoge "zafar" kya kya sakina ki musibat
Nako se safar karne se yu ho gyi haalat
Gurbat bhi raah e sham me ye padhti thi noha
Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2