Abbas Ke Wo Haath Kalam Hogaye Baba

- Ali Shabbar (2019)


Jo karbobala me meri Nusrat ke liye the,
Abbas ke wo hath Qalam ho gye baba..

Jo hath mere hatho ki quwat ke liye the,
Abbas ke wo hath Qalam ho gye baba..

1) Manga tha jinhe ap ne rato'n ko dua me,
Jo quwat e bazu the mere dashte Bala me,
Jo nana ke maqsad ki himayat ke liye the..
Abbas..........

2) The jafar e tayyar ke hatho ke jo Sani,
Jin hatho me thi apke hatho ki rawani,
Mash hoor jo Alam me shuj' at ke liye the..
Abbas.....

4) The Aalam e qhurbat me bhare Ghar ka sahara,
Jo hath the namos e payamber ka sahara,
Jo chadar e zainab ki hifazat ke liye the..
Abbas.....

5) Jo hath utha lete the Aghosh me badkar,
The saya mohabbat ka bhatiji ke jo par par,
Jo pyasi sakina pe Inayat ke liye the..
Abbas...

6) Hatho ke jo katne ki khabar payegi khahar,
Is ghum ko na seh payegi mar jayegi khahar,
Kulsoom ka hadya jo shahadat ke liye the..
Abbas....

7) Hilti thi zami arsh e bari rota tha Shabbar,
Jab daste wafa chum ke sheh kehte the gohar,
Jo hath madadgaar imamat ke liye the..
Abbas ke wo hath Qalam ho gye baba.....