Tumko Deta Hoo Mein Baba Ki Duhai Bhai

- Anjuman E Hashmiya (2022)


Tumko Deta Hoo Mai Baba Ki Duhai Bhai
Mujhko Ek Baar Toh Keh Do Mere Bhai ...Bhai

1. Issle Pehle Ki Talaatum Koi Barpa Ho Jaye
Isse Pehle Ke Lahu Rang Ye Dariya Ho Jaye
Isse Pehle Ki Kamar Meri Shikasta Ho Jaye
Isse Pehle Ki Ye Shabbeer Akela Ho Jaye
Tumko Deta Hoo Mai Baba Ki Duhai Bhai

2. Isse Pehle Ki Phir Ek Arsh Ka Taara Toote
Isse Pehle Ki Kamai Meri Gardoo'n Loote
Isse Pehle Ki Naya Khoon Ka Chashma Phoote
Isse Pehle Ki Tera Sath Aye Bhai Choote
Tumko Deta Hoo Mai Baba Ki Duhai Bhai

3. Jaanta Hai Ye Zamana Ke Wafadar Ho Tum
Karbala Me Mere Lashkar Ke Alamdar Ho Tum
Meri Ghurbat Me Mere Monis O Ghamkhwar Ho Tum
Mujhse Pehle Hi Magar Marne Ko Taiyaar Ho Tum
Tumko Deta Hoo Mai Baba Ki Duhai Bhai

4. Tumne Jo Haqq E Wafa Tha Wo Nibhaya Abbas
Tumne Baba Ki Hidayat Ko Maana Abbas
Tumne Qadmon Pe Mere Sar Ko Jhukaya Abbas
Tumne Bhai Nahi Aaqa Mujhe Samjha Abbas
Tumko Deta Hoo Mai Baba Ki Duhai Bhai

5. Tumne Zainab Ko Bhi Shehzadi Ka Darja Baksha
Tumne Zainab Ki Eta'at Ko Muqaddar Jana
Tumne Zainab Ki Har Ek Baat Ko Tasleem Kiya
Huqm E Zainab Se Hi Khaimo Ka Thikana Badla
Tumko Deta Hoo Mai Zainab Ki Duhai Bhai

6. Kya Mera Sath Nhi Aata Hai Ab Raas Tumhe
Kya Nahi Hai Meri Tanhai Ka Ehsaas Tumhe
Maine Bete Ki Tarah Paala Hai Abbas Tumhe
Jao Jana Hi Hai Amma Ke Agar Paas Tumhe
Tumko Deta Hoo Mai Amma Ki Duhai Bhai

7. Tum Ho Zakhmi Tumhe Abbas Aziyat Hai Bahot
Mashk Bhi Chid Gayi Ghum Geen Tabiyat Hai Bahot
Janta Hoo Tumhe Apne Se Shikayat Hai Bahot
Tumko Nashaad Sakina Se Nidamat Hai Bahot
Tumko Us Pyaasi Sakina Ki Duhai Bhai

8. Aye Qamar Sheh Ki Tamanna Ko Jo Ghazi Ne Suna
Roke Kehne Lage Mai Aap Ki Azmaat Pe Fida
Umr Bhar Aapko Jis Muh Se Kaha Hai Aaqa
Kaise Us Muh Se Mai Keh Paunga Bhai Maula
Huqm Ab Aapka Hai Aur Hai Duhai Bhai
Marte Dum Is Liye Kehta Hoo Mai Bhai Bhai..