Aye Shahe Karbobala

- Mir Zaman Hussain (2024)


Aye Shahe Karbobala Ke Janisaro As Salaam
Fatima Ke Maahparo Shehasawaro AsSalaam

1
Jab Bujha Aashur Ki Shab Khaimae Sheh Ka Diya
Bade Raushan Ye Diya Manzar Ajab Dekha Gaya
Dekh Kar Manzar Yahi Shahe Huda Ne Ye Kaha
Aye Zohairo Ausaja Aye Mere Peyaro As Salaam

2
Raat Bhar Shauke Shahadat Mein Sabhi Jaage Rahe
Wo Namaze Nafila Quraan Sab Parte Rahe
Aur Gale Lagkar Sabhi Aapas Me Ye Kehte Rahe
Maqtale Karbobala Ke Shehsawaro As salaam

3
Bole Aashura Ki Shab Shahe Huda Se Ye Zuhair
Kal Batauñga Sitam Ko Aaj Guzre Shab Bakhair
Bole Kal Jauñga Mai Bhi Jaan Dene Ko Burair
Deene Ahmad Ke Saharo Razdaro As Salaam

4
Subha Jab Aashur Ki Aai Qayamat Thi Bapa
Shauk Mein Apne Shahadat Ki Wahañ Se Hur Badah
Dekh Kar Hur Ko Shahe Wala Ne Bas Itna Kaha
Aasmane Sabr Ke Mere Sitaro As Salaam

5
Azm Himmat Aur Shuja'at Leke Sare Walwale
Leke Izne Shahe Wala Janibe Maqtal Badeh
Bade Ansare Shahe Deeñ Goud Ke Pale Chale
Jaan Shah Par Ki Fida Aye Paasdaro As Salaam

6
Aye Zohair, Ibne Mazahir, Wahebe Qalbi, Ausaja
Aye Burair , Ibne Asad, Jauno, Saeedo, Hanzala
Aye Jinada, Aabiso, Shaujab, Aye Khazla, Zargama
Lashkare Shahe Huda Ke Janisaro As Salaam

7
Aoun, Abdullah, o Jafar Qasimo, Asgar Salaam
Musa, Salmano, Mohammad, Aye Ali Akbar Salaam
Ibne Hur, Imran, Muslim, Aye Hure Yawar Salaam
Rahe Haq Ke Aye Jiyalo Kohsaro As Salaam

8
Aye "Zaman" In Janisaro Ne Kiya Hai Ayesa Kaam
Ta Qayamat Ab Rahega Deene Ahmad Ka Qayaam
Aye "Wafa" In Sare Shohda Par Mere Lakhon Salaam
Qatlgahe Karbala Ke Khaksaro As Salaam