Baradaram Jaan Akbar
- Mir Shah Rizwan (2025)
baradarm joon akbar bardam jon
soghra ne di ye sada tujh pa main qurban
1. dekhti hai jab bhi ye khahar tera chehra
badhta hai dil umar men hota hai izafa
rukti hai har gham ki hawa _ paati hai bimaar shefa
tum se hai wabasta mere jine ka unwaan
2. chood ke gar mujh ko yahan jao ge bhaiya
tum mere marne ki khabar pao ge bhaiya
gham men giraftar bahn _ dekho hai bimar bahen
tum se bichad kar bhaiya jaye gi ye jaan
3. mahwe buka tere liye rooz rahon gi
nakshe qadam deekh ke main raah takon gi
dil pa hain jo ranjo alam _ ab nahin ho payen ge kam
yaad tumen kar ke bahen roye gi har aan
4. misle nabi tum ko diya lahen khoda ne
suraye yaseen padho mere sarahne
jab bhi ye dam nikle mera _ samne ho chehra tera
dil men baradar hai mere bas yahi armaan
5. arsh ke taron se bhara rahta hai angan
raunaqen hain dam se tere ghar bhi raushan
hoga ga bas ek gham saman_ ujre ga khushiyon ka jahan
hoga tere jaate hi ghar mera viraan
6. ek guzarish hai agar biyah rachana
khahare bibaar ko tum bhool na jana
laut ke tum ana watan _ saath men jaye gi bahan
puri ye hasrat ho meri akbare zishaan
7. jab tere hujre pa nazar jaye gi bhaiya
saath karen ge daro diwaar bhi giriya
hogi bahot dil men chudhan _ badhti hi jaye gi ghutan
tere bina hoga watan surate zindaan
8. chain se dam mera nikal jaye baradar
qabar men so jaye kafan odh ke khahar
khatam ho ye gham ka safar _ jald ruke darde jigar
tum bhi ali ho kar do mushkilen asaan
9. mir hilal ashk bahane lage akbar
bain jo khahar ne kiye khaak uda kar
chane lagi gham ki ghata _ho gaya ek ashr bapa
ahle madina gham se rote the Rizwan