Kat Raha Tha Gala Dhirey Dhirey Se
- Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2025)
Chal Raha Tha Shahe Dee’n Pe Khanjar
Kat Raha Tha Gala Dheere Dheere
Sajdaye Shukkr Phir Bhi Khuda Ka
Ho Raha Tha Ada Dheere Dheere
1) Zakham Zalim Ne Aysa Dia Hai
Dard Baba Boht Ho Raha Hai
Mere Seene Se Zalim Ka Khanjar
Baba Jaa’n Khenchana Dheere Dheere
2) Ilteja Ek Maa Kar Rahi Hai
Maamta Samne Ro Rahi Hai
Gir Rahi Hai Sakina Zamee’n Par
SeShimrr Naqa Chala Dheere Dheere
3) Taziyane Tu Kiyu Marta Hai
Ye Hai Beemar Tu Janta Hai
Thak Ke betha Tha Mera Baradar
Hai Uthana Utha Dheere Dheere
4) Aik Rassi Mai Sab Ke Gale Hai
Kitne Paidal Na Jane Chale Hai
Rook Zalim Zara Deer Lashakar
Ya Badha Qafela Dheere Dheere
5) Dekh Kar Be Rida Bibiyo’n Ko
Aur Hanste Hue Zalimo Ko
Aik Ghayyur Beemar Laghar
Qatal Hota Raha Dheere Dheere
6) Bhai Na De Mujhe Ab Dilase
Kab Rihai Mile Gi Bata De
Le Chalo Qed Khane Se Bahar
Aarahi Hai Qaza Dheere Dheere
7) kaise Behlaunga Qalbe Madar
Kaise Dikhlaunga Lashe Asghar
Bas Isi Soch Mai Haye Rokar
Baap Badhta Raha Dheere Dheere
8) Baba Aysa Sitm Bhi Hua Tha
Baliya’n Ek Laee’n Mangta Tha
Noche Tezi Se Itne Hi Gohar
Mai Ne Jetna Kaha Dheere Dheere
9) Murtaza Aur Payambar Bhi Roye
Anbiya Aur Malaik Bhi Roye
Jis Ghadi Ibne Zehra Ka Mehwar
Kat Raha Tha Gala Dheere Dheere