Abbas Chahiye

- Ahmed Raza Nasiri (2025)


Allah... Allah... Alllah

Jo mera ghum samet le wo aas chahiye
Ek aur ladla mujhe hassaas chahiye
Mohsin hue shaheed to, Zahra ne ki dua..(2)
Ya rab mere Hussain ko Abbas chahiye..(2)

Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

1. Ankhein ho uski sura e alfajr ki tarah
chehra najam to hath ho wal qadr ki tarah
haibat ho uski sura e wal asr ki tarah
woh fatahe mubin ho wan nasr ki tarah
dekhe use to dekh ke badr ud duja kahe
shams uz zuha Hussain use marhaba kahe
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

2. Rakh de tu mere laal me shere khuda ki khoo
bole to ho Ali ki tarah uski guftugu
soche to kayenat kare uski justuju
al gharz ke Ali ki tarah ho wo hubahu
malik nusairiyo ke aqeede ko thik kar
ghazi ko bhej aur Ali ka shareek kar
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

3. Aisa shajee ho jispe shaja'at ko naaz ho
aisa jaleel jispe jalalat ko naaz ho
itna sakhi wo ho ke sakhawat ko naaz ho
itna zaheen ho ke zahanat ko naaz ho
aisa charagh ho wo imam e mubin ka
suraj se jo nikal de pani zameen ka
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

4. Shamil raza mein uski khuda ho teri raza
wo baab e hawaej ho jise jo kare ataa
jab dil kare qaza ko saza deke de qaza
uska ghazab jalal ho tere jalaal ka
wo ek tan ko char barabar ka baat de
chahe to tan me jhaank ke rooho ko kaat de
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

5. Hajat ke dar pe uski ataein kaseer ho
be haath bhi agar ho wohi dastageer ho
har ek faqeer ka woh janabe ameer ho
qadir mere khuda tera shay in qadeer ho
darya samandaro ki darazi hayat ho
uske badan se jab bhi paseena zakat ho
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

6. Uska asar kisi ke bhi zere asar na ho
aisa ho raubdar kisi ka pisar na ho
woh dekh le ghazab mein to phir tan pe sar na ho
woh soorma kahi koi aisa magar na ho
chullu mein bharke aab e rawani ko maat de
darya ke muh pe maar ke paani ko maat de
Abbas.. Abbas..
Abbas chahiye mujhe Abbas chahiye
Abbas chahiye Abbas chahiye

7. Yasir hai yeh Batool ki maqbool ilteja
tujhse dua e khaas hai Zahra ki ye khuda
shak hi nahi kamaal hai malik teri ataa
tujhko teri badhayi ka azmat ka wasta
ta hashr ek wafa pe nagina dikhayi de
uske alam pe mashk e sakina dikhayi de