Kalmagoyo me hui haye akeli zahra
- Shahid Baltistani (2023)
Haye Baba, Haye Baba
Haye Baba, Haye Baba
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Sarey Darbar Gayi
Baba Jhutlai Gayi
Aap Ki Beti Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Kar Kay Tehreer Kay Tukre Mujhe Lotaya Gaya
Mere Masoom Gawahon Ko Bhi Jhutlaya Gaya
Kehkahey Sehti Rahi Aur Sanad Chunti Rahi
Aap Ki Sachi Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Jis Gali May Mujhe Zalim Nay Tamacha Mara
Jeety Jee Mera Hasan Na Wahan Say Guzra
Wo Na Bhulay Ga Kabhi Us Say Dekhi Na Gayi
Khaak Pey Girti Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Zakham Pahlu Ka To Bacho Say Chupaya Baba
Per Yeh Sadma Mujhe Turbat May Bhi Tarpaye Ga
Jab Tamachay Khaye Dekha Bacho Nay Mere
Rook Na Payi Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Aap Ki Zahra Thi Jalty Hue Dark Ay Nichy
Aur Hasntey Hue Us Per Say Musalma Guzray
Thukren Khaati Rahi Ya Ali Kahti Rahi
Baba Tumhari Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Pasliyan Toot Kay Uljhi Hain Kuch Aese Baba
Saans Leti Hun To Dukhta Hay Kaleja Mera
Hain Shikasta Bazoo Kar Nahi Sakti Wazu
Zakhmi Hay Itni Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Mujh Say Kehne Lagi Zainab Aey Zaeefa Bibi
Yeh Hay Konain Ki Malka Ka Musallah Bibi
Aesi Halat Thi Meri Won A Pehchan Saki
Saamne Bethi Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Maikh Jaltay Hue Darwazay Ki Jab Surkh Hui
Mere Pahlu Say Wo Mohsin Kay Badan May Utri
Haye Dam Toor Gaya Wo Mujhe Choor Gaya
Zinda Hay Phir Bhi Zahra
Kalma Goyo May Hui Haye Akeli Zahra
Qabar E Zahra Ki Khamoshi Yeh Buqa Karti Hay
Mera Mohsin Hay Ju Parday May Mera Mehdi Hay
Ab Fidak Ki Khaatir Apne Haq Ki Khaatir
Kuch Na Kahegi Zahra