Aye zahra ke baba

- Mir Hasan Mir (2025)


Aye Zehra Ke Baba Aye Shah E Madina
Yun Beti Ko Teri Sataya Gaya Hai
Shikasta Hai Pehlu Shikasta Hai Bazu
Lahu Fatima Ka Bahaya Gaya Hai

Madine Ki Kya Thi Main Halat Bataon
Tumhe Syeda Ki Musibat Bataon
Kabhi Aag Dar Par Lagayi Hai Uske
Kabhi Haath Us Par Uthaya Gaya Hai

Sada Arahi Thi Ye Ghar He Mita Do
Jo Rehte Hain Ghar Main Unhein Bhi Jala Do
Taharat Ka Kaba Jalane Ki Khatir
Jamaat Ko Sari Bulaya Gaya Hai

Koi Bhi Na Smjha Shah E Lafata Ko
Ye Gham Kha Gaya Hai Teri Fatima Ko
Madine Ki Galiyon Main Qaidi Bana Kar
Tere Janasheen Ko Phiraya Gaya Hai

Na Uthte Thy Bache Na Rukte Thy Ansoo
Sambhale Farishton Ne Dono Ke Bazu
Bari Mushkilon Se Janaze Se Maa Ke
Hussain O Hasan Ko Hataya Gaya Hai

Ali Murtaza Ki Ajab Thi Gareebi
Teri Ladli Par Hanse Jab Namazi
Sanad Kardi Tukre Mazak Is Tarhan Se
Teri Syeda Ka Uraya Gaya Hai

Giri Khaak Par Arsh Par Rehne Wali
Shikasta Hui Uske Kaano Ki Bali
Lahu Chashme Zahra Main Bharne Laga Tha
Tamacha He Aisa Lagaya Gaya

Ali Ko Jo Masjid Bulaya Gaya Tha
Teri Ladli Ko Jalal Agaya Tha
Ali Ne Diya Wasta Apne Haq Ka
Madine Ko Aise Bachaya Gaya Hai

Ali Ne Banayi Thi Chalees Qabrein
Pata Puchti Hain Takllum Ki Aahein
Zameen E Madina Main Jane Kahan Par
Khazana Tumhara Chupaya Gaya Hai