Aaj meri maa chali gayi
- Syed Raza Abbas Zaidi (2025)
Jab aaye qabr mein dafnake Fatima (s.a) ko Ali (a.s)
Kaha Husain (a.s) se aayengi ab na Ammaa kabhi
Tumhein pilaunga beta main aaj se paani
Yeh pehli raat hai yaad aayegi bohat maa ki
Tumhari fikr mein hogi lahad mein maa bechain
Subah se jaage ho so jao thodi der Husain (a.s)
Badh ker Ali (a.s) ne gale jab lagaya
Yeh kehke Shabbir (a.s) ne sar uthaya
Aaj meri maa chali gayi - 4
Baba mujhe yeh batayein
Kyun chhod jaati hain maayein
Seene se apne laga kar
Ab kaun dega duayein
Nazron se jaata nahin maa ka chehra
Kaise mujhe neend aayegi Baba
Rota hoon jab se suna hai
Maa ko tamacha laga hai
Aulaad ke saamne kya
Maa ko koi maarta hai?
Yeh waqt Baba kisi par na aaye
Maa apne bachon se chehra chhupaye
Darwaza maa par gira kar
Kehne laga ek sitamgar
Aaj itna Zahra (s.a) ko maaro
Uth na sake zindagi bhar
Hansta raha maar kar taaziyane
Aaya nahin maa ko koi bachane
Baazu hi jab toot jaaye
Kaise koi haath uthaye
Bete ko is haal mein maa
Seene se kaise lagaye
Phir bhi mere naaz uthati thi Ammaa
Takleef mein muskuraati thi Ammaa
Maa mar gayi hai pata tha
Par dil nahin maanta tha
Aur aap ne mere Baba
Jab ghusl unko diya tha
Yun cheekh kar aap roye the Baba
Uss waqt mujhko yaqeen aagaya tha
Haaye main darbaar se ghar
Aaya tha jab maa ko lekar
Raste mein Ammaa ke paon
Khat khainchhte the zameen par
Kaise qadam woh uthati thin Baba
Chalti thin phir baith jaati thin Baba
Maara tha zaalim ne Baba
Jis haath par taaziyana
Bhooloonga kaise main maa ka
Woh haath mujh se chhupana
Woh neel meri nazar mein tab aaya
Maa ne kafan khol kar jab bulaya
Jab door apne watan se
Mehroom hokar kafan se
Laasha pada hoga mera
Lut jaayega sab badan se
Jaaoonga ek roz Karb-o-Bala mein
Lekin ghareeb aaj se ho gaya main
Seene se apne laga kar
Us dam bohat roye Haider (a.s)
Haaye Raza aur Zeeshan
Jab bole Shabbir (a.s) rokar
Maa mar gayi ab jeeunga main kaise
Ae kaash mar jaata main un se pehle