Mai Fatima Hun
- Raza Abbas Sultanpuri (2024)
Subbat alaiyya masaib un lauannaha
subbat alal ayyame sirna layaliya
Mai mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun'
1. Meri rudaad suno,
meri rudaad suno aapki Zahra hun mai
babjaa'n ranjo masaeb mein girafta hu mai
kya sitam aapki beti pe hua hai dekho
sin hai athara baras aur zaeefa hu mai
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
2. Bakhuda jab se utha aapka saya baba
maine ek pal bhi kabhi chayn na paya baba
jhuk gayi meri kamar dard ko sehte sehte
is qadar aapki ummat ne sataya baba
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
3. Haaye,
uthne lagta hai mere dil mein ghamo ka tufaa'n
us ghadi aur tadapta hai jigar babajaa'n
mujhse kehti hai ye jab meri dulari Zainab
kis liye baithke padhti ho namazein amma
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
4. Din qayamat ka yeh dikhlaya gaya Zahra ko
baba peshi pe bhi bulwaya gaya Zahra ko
phaad kar aapki tehreer zamee'n par feki
bhare darbar mein jhutlaya gaya Zahra ko
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
5. Mai uthane lagi jis waqt sanad ke tukde
has rahe the meri ghurbat pe sitamgar saare
aaya us waqt mujhe aur bhi rona jis dum
mere bacho ne meri aankh se aasu poche
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
6. Khoon ta hashr rulayega mujhe ye sadma
baba mai bhool nahi sakti kabhi wo lamha
mera masoom pisar saath tha mere us dum
jab sitamgar ne mere rukh pe tamacha maara
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
7. Haye wo hashr ka hangaam qayamat ka samaa
jis ghadi uthne laga jalte hue darr se dhua'n
maine darr thaam liya, ki tadap kar ye fugha'n
rehem khao logo'n mere bache hai yaha'n
meri faryad kisi ne na suni
yak ba yak toot pade darr pe shaqi
thokre maar ke darwaza giraya mujhpar
baba jis waqt gira aapki beti pe darr
uspe chal chal ke guzarne lage wo ehle sharr
Baba mai roti rahi
cheekh kar kehti rahi
meri imdaad karo
dard hai hadd se sewa
lut gaya mera jaha'n
mera Mohsin na raha
mujhko koi na bachane aaya
meri nazro'n me andhera chaya
chur zakhmo se hui
pasliya'n toot gayi
waar kunfuz ne kiya, ungliya'n toot gayi..(2)
8. Haaye,
meri nazro ne qayamat ka wo manzar dekha
dekh kar jisko laraz uttha kaleja mera
maut tha aapki beti ke liye wo lamha
jab pada gardan e Haider mein rasan ka phanda
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)
9. Aaj jis waqt nazar sue baqi jaati hai
bekasi bint e nabi ki hame tadpati hai
aye nadeem aaj bhi weeran kisi turbat se
ek beti ki yeh purdard sadaa aati hai
Baba mai, mazlooma hun
Mai Fatima hun, mai Fatima hun..(2)