Aagaye Murtaza
- Farhan (ALI WARIS) (2026)
Ali Ali Maula Haider ..(4)
Ali Ali Maula Haider ..(4)
Kya hai Ali ki shaan yeh duniya ko samjhana hai
Jashn hai kiska saare zamane ko batlana hai
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
Laa makaa'n ke makaa'n me in makee'n aagaya
ghum kisi ko yeh khaye to mai kya karu
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
1. Dushmanan e Ali se yeh haste huwe
ek taale ne taali bajakar kaha..(2)
kaaba haider ke aane ki sunke khabar
haske khud dar banaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
2. Ya Ali kehke utra jo maidan mein
jeet uske muqaddar mein likh di gayi..(2)
tere lab par nahi, naara e haideri
tu agar muh ki khaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
3. Qum be izni se murde jo zinda kare
naam lene se jiske mile zindagi..(2)
aye munafiq bata, sunke uski sanaa
gar tujhe maut aaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
4. Keh raha hai yeh qur'an mai batla chuka
jo piyega ye maiy wo sambhal jaega..(2)
ishq e haider ke jo jaam peeta nahi
wo agar dagmagaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
5. Yeh habib e khuda se alam ne kaha
mai to khaiber pe lehrau maula magar..(2)
tegh ho haath mein, fauj ho saath mein
koi fir bhaag aaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
6. Apne maa baap se puch kya baat hai
mai to zakir hu mujhse shikayat na kar..(2)
husn ka tazkera, noor ki manqabat
aag tere lagaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
7. Aye munafiq, munafiq hai woh aadmi
khoon jiska najis, nasl na-paak ho..(2)
apne baare mein sunkar yeh baatein agar
tujhko ghairat na aaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
8. Sheh ka ghum jisne dil mein samoya nahi
aah bhar kar jo majlis mein roya nahi..(2)
hashr se apne darr ke agar qabr mein
woh kare haaye haaye, to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?
9. Mai hun farhan, gauhar meri shaan se
jiska jee chahe woh jagmagaye magar..(2)
ishq e haider ki noorani barsat mein
koi khud na nahaye to mai kya karu?
Aagaye Murtaza, khush hai deen e khuda
ab koi til-milaye to mai kya karu?