Sukoon yani Hussain (a.s)

- Mir Hasan Mir (2026)


husain husain – 4
sukoon yaani husain – 4

makki hue
makki hue jo mere dil mein meherbani husain
sukoon yaani husain - 4

jab aayi teesri shaban muskurane lage - 2
ye aansu jaante hain teri qadr daani husain
sukoon yaani husain - 4

haan tera bhi dost ho, tere adu ka dost bhi ho - 2
are tera habeeb nahin hota darmiyaani husain
sukoon yaani husain - 4

hayaat hilm haqeeqat hadees haq hujjat - 2
hai tere naam ki 'he' (ح) me ajab ma'ani husain
sukoon yaani husain - 4

bacha le jaan meri deene mustafa ne kaha - 2
aye shahzadi sakina ke baba jaan husain
sukoon yaani husain - 4

husain kehte hain jhuk jhuk ke shukriya zainab - 2
rasool kehte hain jab teri meherbani husain
sukoon yaani husain - 4

hai muntazir dar-e-ghaibat ko khol de maalik - 2
are humein bhi teesri shaban hai manani husain
sukoon yaani husain - 4

ye dekh dekh ke chakkar ajal ko aate hain - 2
kafan mein karta hai taqseem zindagani husain
sukoon yaani husain - 4

haan baghair la'an tumhare har ek qaatil par - 2
gale se mere utarta nahin hai paani husain
sukoon yaani husain - 4

zara si de der hai shaban ki chaar chadhne do - 2
zameen ka rang hi kar denge aasmaani husain
sukoon yaani husain - 4

haan unhein julooson mein maa-baap leke aate hain - 2
are tumhare maanne wale hain khandaani husain
sukoon yaani husain - 4

wo chahe mir takallum ho chahe mir hasan - 2
tumhare naam hai dono ki zindagani husain
sukoon yaani husain - 4