Shabbir agar teri azadari na hoti

- Nadeem Sarwar (1997)


na dil rota na gham hota na aisa kahin matam hota
shabbir agar teri azadari na hoti
mazloom ki duniya may tarafdaari na hoti
shabbir agar teri....

shabbir ka maqsad jo samajh leta zamana
quran ko samjhne mayi ye dushwari na hoti
shabbir agar teri....

kya fayeda aankhon ka reh jaata zara socho
in aankhon may maula ki jo gham-khwari na hoti
shabbir agar teri....

shabbir ke rozay pe kuch roz jo rehte
tumko ko kabhi jannat ki talab-gari na hoti
shabbir agar teri....

do roz bhi jannat may rehna hamay mushkil tha
zehra tere bachon ki jo sardari na hoti
shabbir agar teri....

ghazi tere jaisa jo alamdar na hota
dunya may alam hote alamdari na hoti
shabbir agar teri....

sharminda sakina se agar hota na pani
yeh rasm sabilo ki kabi jaari na hoti
shabbir agar teri....

namoos muhammad ko jo pehchanti dunya
zainab ke khule sar pe ye sang baari na hoti
shabbir agar teri....

jannat may qadam rakhte nahi sarwar-o-rehan
jannat may jo maula ki azadari na hoti
shabbir agar teri....