Yeh majlis-e husain
- Nadeem Sarwar (1997)
Yeh majlis-e husain
He sog jis jagah bhi shahe mashrakain ka
Khud pursa zehra leti he is noor-e ain ka
Rona sawab jispe na rona haraam he
chashme khuda me iska badaa ehteraam hai
Yeh majlis e husain alaihis salaam he
chashme khuda me iska badaa ehteraam hai
chashme khuda me iska badaa ehteraam hai
1. Ye majlise hai hamde khuda naat e mustafa
in majliso me hota hai quran lab kusha
in majliso se milta hai janat ka raasta
in majliso ki hoti hai kuch aise ibtidaa
zakir ke lab pe pehle khudaa ka kalaam hai
2. In majliso me hoti he insaniyat ki baat
zikre gham-e husain he wehdaniyat ki baat
yeh majlise rasool ki haqqaniyat ki baat
radd karti he ye majlise sufyaniyat ki baat
in ke sabab to hurr bhi alaihis salaam hai
3. In majliso ko ajre risalaat kaha gaya
roze azal se rone ka fitrat kaha gaya
dil ki lughat me isko mohabbat kaha gaya
yani ise batool ke sunnat kaha gaya
har rone aankh ko mera salaam hai
4. Ek majlise azaa jo huwi mulke shaam me
zainab ne saff bichayi thi yaad e imam ne
aansu chupe hue the shaheedo ke naam me
matam huwa jo yaade shahe tashnakaam me
tabse gham e husain zamaane me aam hai
5. Majlis me zikre bali sakina kiya karo
pani piyo to yaad shahe karbala ki ho
majlis me tazkera ali asghar ka jab suno
ek aah sard bhar ke tadap kar yahi kaho
Asghar bada shaheedo me tera muqaam hai
6. Is majlis e hussain ka sarwar hai nauhakhwaa'n
thakti nahi hai zikr e hussaini mein yu zubaa'n
ghutti mein ashk e ghum ko pilaati rahi hai maa
walid ne di hai kaan mein nauho'n ki wo azaa'n
rehan jisse saare zamane mein naam hai
chashme khuda me iska badaa ehteraam hai
Yeh majlis e husain alaihis salaam he
chashme khuda me iska badaa ehteraam hai