Ghazi ka salam aaya
- Shahid Baltistani (2014)
Ghaazi ka Salam aaya..(4)
Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya haay
Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya
Zahra ki betiyo ka, tune qadam qadam par
Hai saath Jo nibhaya
Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2)
Zainab ki zindagi ki karti rahi duae
Khati rahi hai pathar sehti rahi jafae
Bazar ho ya galiya, Darbaar ho ya zinda
Shikwa na lab pe aaya
Darya pe Koi laasha pehlu badal raha tha
Pardes me Ali ka ghar baar jal rha tha
Zainab ke sath milke, sholo pe chalke tune
Sajjad ko bachaya
Nauke sina se dekha shabbir ne ye manzar
Karbobala se lekar taa shaam Har kadam par
Zalim ka taziyana, Apne kamar pe tune
Zainab se pehle khaya
Zainab Gai jaha bhi tu sath me Gai hai
Saye ki tarah Har pal tu dhoop me rahi hai
Qurbaniyo ko Teri sab maante hai bibi
Apna ho ya paraya
Baba ko yaad karke roti thi jab sakina
Har baar usse kehti sabir bohot thi Zahra
Makhdooma ke masaeb, Har shab suna ke tune
Bachi ka dil badhaya
Choda na unka daman jab tak rahi hai zinda
Izzat hai Mustafa ki zainab ho ya sakina
Tune samajhke Zahra, Har bibi ki lahad par
Shab bhar diya jalaya
Bimaare karbala jab thak kar Kahi pe baitha
Aakar qareeb tune dekar use dilasa
Kaate Kabhi nikale, Chhalo pe aasuo ka
Marham Kabhi lagaya
Pardesiyo ki tarha tu ab bhi shaam me hai
Ghar jaati Kis tarah se zainab bhi shaam me hai
Lagta hai ye takallum, binte Ali ke sar par
Abhi hai tera saaya
Haay fizza