Ghodo se Pamal hua

- Safdar Abbas (2014)


Phool se nazuk wo badan haay wo ibne hasan
ghodo se pamaal hua barsare karbobala..(2)

mere qasim ka badan ghodo se pamaal hua
ae khuda wa waila..(2)
bain farwa ne kiye roke sare dashte bala
ae khuda wawaila..(2)

para para hai badan dasht me bikhra hua
mere bache pe hui haay kesi ye jafa
koi kya jane bhala tukde hua dil mera
mere allah kaha jau mai ab tu hi bata
ae khuda wawaila..(2)

dile madar hai bhala sabr aae kyu kar
sue maqtal hai meri jab bhi padti hai nazar
mere ankho se tapakta hai mera khoone jigar
haay kya haal hua hoga mere bache ka
ae khuda wawaila..(2)

dasht me loota gaya haay zahra ka chaman
ran me pamaal hua bekhata ibne hasan
para para hua haay mere masoom ka tan
mai dare khaima pe karti rahi faryado buka
ae khuda wawaila..(2)

dasht me bikhre hue the badan ke aaza
dhundhne maqtal me jab chale shahe huda
dekhi bhai ki nishani to jigar chalni hua
ek ek tukde pe sheh ne kiya rokar nauha
ae khuda wawaila..(2)

shaah karte the ye bain ae mere noore ain
de bas ek baar sada ae mere dil ke chayn
teri awaaz pe dhundhega teri laash husain
har qadam pe kiya shabbir ne yehi girya
ae khuda wawaila..(2)

ae mere laal bata kya kare teri maa
noor aankho ka gaya tujhko dhundhu mai kaha
aake ek baar gale lagja mere tashna dahaa
surate ibne hasan dekhlu ek baar zara
ae khuda wawaila..(2)

dile madar hai bhala kese paega suku
kha gaya ghum ye mujhe mai bhala kese jiyu
ye muqaddar me likha hai mai sada roti rahu
sabr mujhko tu ata karde bahaqqe zahra
ae khuda wawaila..(2)

haay safdar ye kiya maa ne rokar nauha
kese likhu mai bhala thi qayamat barpa
laaye jab laash ke tukdo ko shahe karbobala
dasht me goonj uthi madare qasim ki sada
ae khuda wawaila..(2)

mere qasim ka badan ghodo se pamaal hua
ae khuda wa waila..(2)