Alamdar na aaya

- Nadeem Sarwar (2014)


Aye ahle haram....(2)
Aye ahle haram meru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya....(2)
Aye ahle haram meru alamadar na aaya....(2)
Alamdar na aaya....(2)
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya....(2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya....(2)
Hussain....(1)

(1)maula ki qamar tuti, jis dam yeh khabar aayi
Mara gaya darya par shabbir ka shaidayi, khoon bhar gaya aakho me, jaati rahi binaaii
Maktal se sakina ka woh ghamkhwar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(2)jab khoon me tar aaya abbas ka woh parcham
Tapti hui reti par atfal ke sab be dam
Sarwar ne kiya nauha, zainab ne kiya matam
Chilaye haram gazi-o-jarrar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(3)Hukm-e-shah-e-wala par darya ko Utha lata.
Kya karta bhala gazi mehroom-e-ijazat tha.
Koshish toh bohot ki par lakhon me ghira tanha.
Jab mashk chidi phir woh wafadar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(4)Zehra ke gharane ka woh zamin-e-chadar tha.
Maslat me thi sakkai kirdar me haider tha.
Jis waqt kate bazu gazi ke bahe aansu lene gaye maula woh dilafgaar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(5)baccho ki sadae thi Abbas chacha paani.
Ek mashk lahoo dekar ek mashk bhara paani.
Us mashk-e-sakina se jis waqt baha paani woh mar gaya darya pe hayadar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(6)woh sher-e-dilawar tha tanha bhi Jo lashkar tha.
Afsos labe-e-darya ek lasha-e-besar tha.
Halmin ki sada sunta rota tha tadap ta tha.
shabbir ka sheda woh madadgaar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(7)jalte hue khaimo se zainab ki sada aayi.
Aye baba ali (a.s) dekho beti ki yeh tanhaai.
Yeh mashk-o-alam aaya, aaya na mera bhai.
Baba mere kunbe ka tarafdaar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Aye ahle haram miru alamdar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)

(8)rehan se sarwar se who dard bayan kaise.
Jis sher ki dharas par aabad rahe khaime.
Jalte hue khaimo se ghabrake Jo zainab ne kitni bhi sadae di woh ek baar na aaya....
Sakka-e-hussain sayyed-o-salar na aaya....(2)
Alamdar na aaya.... (2)
Hussain....(1)....