Baba Baba Hussain

- Nadeem Sarwar (2014)

Hussain, hussain,hussain, hussain..(4)

Sham-e-ghareebaa al amaa, phaila hua har su dhua

Nauha kuna saidaniya, ghash me pada hai ek natawa

Pyasi sakina nauhakhwaa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Jalte hue khaime idhar, lashe tadapte the udhar

Karbobala ki khaak par, boli sakina rakhke sar

Baba suno meri fugha

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Bade nabi taraaj hai, sholo ka har su raaj hai

Haye kafan ke waste, baba mera mohtaj hai

Kitna bada hai imtehaa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Shame masaeb aagai, andhi ghamo ki cha gai

Mai janibe darya gai, lashe chacha tharra gai

Kano se khoo dekha rawa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Rukhsar nile hogae, itne tamache hail age

Baba khuda ke waste, mujhko lagalo seene se

Dukhti hai meri pasliyaa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Tapti zami jalti hawa, ae maqtal-e-karbobala

Ek dopaher me kya hua, loota gaya kunba mera

Chadar na sar pe saaebaa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Ek reesma bara gale, kuch is tarah bandhe gaye

Har aati jaati saans bhi, jaise koi khanjar chale

Nazuk gale me reesma

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Rassi me baba bandh gae, taza sitam hone ko hai

Zanjeer lae ashqiyaa, beemar aabid ke liye

Pehna rahe hai bediyaa

Baba baba Husain..(3)

Sakina ki ati thi sada.. Baba baba Husain..(3)

Hussain, hussain,hussain, hussain, hussain, hussain

Kya sarwar-o-rehan ham, batlae rudade sitam

Nazuk se dil ke ranjo ghum, kehti rahi wo dam ba dam

Ab tum kaha aur hum kaha