Aagayai shaam se

- Irfan Haider (2009)


Aagayai shaam se

Aa gai sham se lo aapki hamsheer hussain
Marsiya karti he ye zainabe dilgeer hussain


(Aap mehroome kafan aur mein mehroome rida) x2
Who naseeb apka aur ye meri taqdeer hussain

(Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  1. Shaam ki galiyon se guzri sare darbaar gayi
    Koi kehsakta nahin teri behan haar gayi
    (Haaye be makna o chaadar bhi na dastaar gayi) x2
    Phir bhi kab dil se miti aapki tasweer hussain
  2. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  3. Rah mein khushk na hopaye mere deedae nam
    Mein zabaa(n) band bhi karlun to shahannshahe umam
    (Eik ik zakhm sunayega who rudade sitam) x2
    Who safar pusht pe durron se he tehreer hussain
  4. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  5. Teri ghurbat pe fida ey mere mazloom akhi
    Waqt ik aisa bhi aya ke behan kaamp gayi
    (Hukm bachhi ki kaneezi ka suna ta tha shaqi) x2
    Bas usi waqt to ghabrayi thi hamsheer hussain
  6. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  7. Tey safar kaise huwa kaise mein batlaun bhala
    Koi hodaj thi na mehmil na amaari na rida
    (Bas isi dard se khu(n) rota raha zainul iba) x2
    Who jo rota to buka karti thi zanjeer hussain
  8. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  9. Jis ko suraj ne nahi dekha tha na sar nange kabhi
    Sham ki galiyon mein sar nange wohi shehzaadi
    (Eik chadar ki talabgaar laeeno(n) se huwi) x2
    Royi neze pe meri chaadar-e-tatheer hussain
  10. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  11. Karbala hogayi aabad luti ale nabi
    Haaye islah na ki ummat se ye soghat mili
    (Be ghari nawha gari aho buka sina zani) x2
    Kya yahi ajre risalat ki he tafseer hussain
  12. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  13. Rah mein ale payambar ka dilasa mein bani
    Sham ke log tamashai tamasha mein bani
    (Teri rudade masaib ka khulasa mein bani) x2
    Khwabe ajdad ko yun milgayi tabeer hussain
  14. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  15. Mein bohot royi sakina ko wahan dafna kar
    Kaam ye pehla kiya hukme rihai paa kar
    (Qaid khaane mein tera farshe aza bichwakar) x2
    Tere chehlum ke liye aagayi dilgeer hussain
  16. (Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
    Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain

  17. Shiddate gham se utha farsh-e-aza par kohraam
    Bas yahi "mazhar-o-irfan" karo khatm kalaam
    (De hame is ki jaza shahe najaf shahe anaam) x2
    Ab mile ya na mile khuld ki jageer hussain

(Ho salamatei(n) dukhe dil thi mere veer hussain) x2
Aagayi qaid nibha kar teri hamsheer hussain