sham e ghariba

- Shahid Baltistani (2010)


Kayamat ke manzar sare kabalaa hai na salaar hai aur na lasker bachaa hai Kayamat ke manzar

Khudda yaa kise per na rota hai aisi
ye kehte hai suraj gurur ho gayaa hai
Kayamat ke manzar
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n), saadat hai pardes hai
Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai

Ai raat andhero ko zara aur barhaa de
Maqtal ki hawaa jhalte Charagho(n) ko bujaa de
Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2 saadat hai pardes hai 

Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker
kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar
khud run me chali aaengi besheer teri maa
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2

Tu bhi naa rahaa jee ke karoo(n) kiyaa mere bache
khud apnne hi hatho(n) se meri kabr bana de
lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2

Daryaa ke taraf aah hai alamdaar kaa laashaa
maqtal me ajab haal se ati hai sakina
Khaimo kaa dhuwa(n) aankh me jhal taa huwaa daman
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2

kehte hai ye jhalte huwe khaymo(n) mei musalle
sajaad tahajud to zara chain se perhle
Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2
 
Woh waqt "taqallum" thaa ajab bint-e-ali per
Kehne lage maula jo nikaab apni uthaa ker
me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan
(Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariba(n)) x2