Hussain Jaan
- Shahid Baltistani (2009)
aye karbala khyal rakhio
teri aaghosh main sota hai hussain
ik zaeef maa ka
ik zaeef beta hai hussain
aur ik yateem beti ka
ik yateem baba hai hussain
mera mazloom
mera beqas
mera pyasa, (pyasa hai hussain *2)
haye awaaz ye aati hai sar-e-karbobla
jaisay karti ho koi maa koi beti girya
jis tarha koi bahan roy kahai wa waila
ya nabi katal hua aap ka pyara beta
hay hussain jaan (*6)
aai awaaz-e-nabi ye dosara maktal mai
meray bachay tujhai aai hai qaza jangle mai
aey mere noor-e-nazar
kushta-e-taigh-e-jafa hay hussain
hay hussain jaan (*6)
hath pahlu pe rakhai daiti thi zahra ye sada
chakia pees ke is maa ne tujhai pala tha
mairi godi mai hua
sar tera tan se juda hay hussain
hay hussain jaan (*6)
waqt-e-aakhir bhi tha zainab ke laboon par ye
sukhan
hay bhai tujhai jee bhar ke nai roee bahan
tishnagi baqi rahi aa gai mujh ko qaza hay hussain
hay hussain jaan (*6)
mere baba ki khata kya thi bta aey zaalim
koi chadar tan-e-be sar pe aurha de zaalim
soy gi beti kaha
thi sakeena ki sada hay hussain
hay hussain jaan (*6)
aik nanhi si lahad jo hai sar-e-dashat-e-bla
is mai jo sota hai us bachay ka zakhmi hai gla
apne baba ke liay
roh-e-asghar ne kaha hay hussain
hay hussain jaan (*6)
ashq-e-gham kehtay hai is baat mai sachai hai
baat rehan jo darwaish ne samjhai hai
dil bhi kahta hai mera
yeh hai tasbeeh-e-khuda hay hussain
hay hussain jaan (*6)