Mere Ghazi Kaha Ho

- Shahid Baltistani (2007)


 

Mere ghazi kaha'n ho..(2)

Teri jageer se chal pada qaafla,
mere ghazi kaha'n ho
Ae mere bawafa hai behen berida
mere ghazi kaha'n ho

Teri jageer se chal pada qaafla
mere ghazi kaha'n ho

1. Tujhko dekhe bina chayn aata nahi
nauke naiza pe sar tera milta nahi
mai ziyarat karu kis tarha ye bata
mere ghazi kaha'n ho

2. Laaj rakh lo bahan ki baradar mere
khaak e maqtal mere sar ka parda bane
hukm dedo zara, muntazir hai hawa
mere ghazi kaha'n ho

3. Tere baazu mujhe raaste mein mile
maine chadar samajh kar wo sar par rakhe
bazuo'n se tera puchti hu pata
mere ghazi kaha'n ho

4. Dekh kar behn ko dasht mein nange sar
kya haya aagayi chhup gaye ho kidhar
khud chali aaungi, tum bata do zara
mere ghazi kaha'n ho

5. Maine bachpan mein lori sunayi tujhe
maine chalna sikhaya tha bhai tujhe
raahe purkhaar par mujhko chalna sikha
mere ghazi kaha'n ho

6. Wo teri laadli wo sakina teri
chalte naaqe se jab khaak par gir gayi
dekhti reh gayi wo sue alqama
mere ghazi kaha'n ho

7. Jo bane murtaza mai wo ehsaas hu
berida bibiyo'n ki mai abbas hu
tum meri aas the aye mere bawafa
mere ghazi kaha'n ho

8. Warise ambiya ki mai hamsheer hu
Ayn e haider hu qur'aa ki tafseer hu
koi yaawar nahi kis ko du mai sada
mere ghazi kaha'n ho