Haaye Bimaar

- Waseem Rizvi (2012)


Haaaye beemaar x8

Be warison ke kaafela saalaar
Haaaye beemaar x8

1) har aan aziyat ko bhala kaise bhula dein
hum teri musibat ko bhala kaise bhula dein
haaye, aansun hai isi baat ka izhaar.....
Haaaye beemaar x8

2) aabid pe sitam dekhke lab tak naa hilaana
is tarah phira baad muhammad ke zamaana
haaye, itrat se musalmaan the bezaar....
Haaaye beemaar x8

3) honthon pe liye shukr-e-khuda sayyad-e-sajjad
chalte hi rahe aabla paa sayyad-e-sajjad
haaye, roti rahi zanjeeron ki jankaaar....
Haaaye beemaar x8

4) aafat thi qayamat thi museebat thi har ek ghaam
yun subeh guzarti thi toh kat-ti thi yunhi shaam
haaye, ek ek kadam chalna tha dushwaar

5) Besaakta logon ki uthi jaati thi nazarein
yeh sochke aabid ki jhuki jaati thi nazarein
haaye, beparda haram hain sare baazaar

6) Yeh soch ke hoti hai "faseel" aaj bhi hairat
bas naam muhammad ka azaano ki tha zeenat
haaye, itrat thi masaaeb me giraftaar