Naala hai Jibrael kaa

- Miscellaneous (2014)


<!--[if gte mso 9]><xml> Normal 0 false false false EN-US X-NONE GU MicrosoftInternetExplorer4 </xml><![endif]-->

NAALA HAI JIBRAEEL KA KHALIQ DUHAYI HAI
SAJDE MAY TERE SHER NE TALWAR KHAYI HAI

1. SAR PIT-TE HAI AHLE JAMA-AT KHADE HUE
EK SHOR HAI IMAM NE TALWAR KHAYI HAI

2. ALLAH SE YEH KEHTI THI JANNAT MAY FATIMA
BACHCHE MERE YATEEEM HUE HAY HAY DUHAYI HAI

3. BOLI HASAN HUSAIN SE ZAINAB JIGAR FIGAAR
SUNTI HU MERE BABA NE TALWAR KHAYI HAI

4. AATA NAHI HAI BETIYON KO MAUT KA YAKEEN
ZAINAB PUKARTI HAI KE KYA NEEND AAYI HAI

5. ABBAS KA TADAPNA NA ZAINAB SE PUCHIYE
KEHTA HAI BACHPANA YAHI PEHLI JUDAYI HAI

6. EKKISWI KO UTH GAYA DUNIYA NA BADSHAH
MAYYAT HASAN HUSSAIN NE ROKAR UTHAYI HAI

7. AFSOS IBNE MULJIME MALOON KI TEG NE
SIBTAIN KO MALAL KI SURAT DIKHAYI HAI

8. NANA KA HIJR MA KA FIRAAQ APNE GHAR SE DOOR
IS DIL SE PUCHO JISNE YEH MAYYAT UTHAYI HAI

9. EKKISWI KI RAAT KA PICHLA WOH AAKHRI
EK SHOR HAI KE SHAMMA SEHER JHILMILAYI HAI

10. AI MOMINO TUMHARA JO PEHLA IMAAM THA
ZAALIM NE USKO SAJDE ME ZARBAT LAGAI HAI

11. MASJID SE JARAHE HAI TAHE QABR SHERE HAQQ
KA'BA TABAH HO GAYA HAQ KI DUHAI HAI...

<!--[if gte mso 9]><xml> </xml><![endif]--><!--[if gte mso 10]> <style> /* Style Definitions */ table.MsoNormalTable {mso-style-name:"Table Normal"; mso-tstyle-rowband-size:0; mso-tstyle-colband-size:0; mso-style-noshow:yes; mso-style-priority:99; mso-style-qformat:yes; mso-style-parent:""; mso-padding-alt:0in 5.4pt 0in 5.4pt; mso-para-margin-top:0in; mso-para-margin-right:0in; mso-para-margin-bottom:10.0pt; mso-para-margin-left:0in; line-height:115%; mso-pagination:widow-orphan; font-size:11.0pt; font-family:"Calibri","sans-serif"; mso-ascii-font-family:Calibri; mso-ascii-theme-font:minor-latin; mso-fareast-font-family:"Times New Roman"; mso-fareast-theme-font:minor-fareast; mso-hansi-font-family:Calibri; mso-hansi-theme-font:minor-latin;} </style>