Ya moosa-e-kazim

- Shahid Baltistani (2007)


Abu ar-reza

(Yabna jaffar, abur-raza) x2 (Abur-raza) x2

(Ya musa-e-kazim) x2

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda

(Ya musa-e-kazim) x4

1. Tere baba imam-e-sadiq hai

Jiske dam se hai Jafferi saare

Deen-o-mazhab, sabak ibaadat hai

Ham ko saaye usi ke dar se mile

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

2. Hai qaramat-e-murtaza tujhme

Saailo(n) ke bhi ye ata tujhme

Rad jo hoti nahi kisi surat

Saans leti hai wo dua tujhme

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
3. Tum bhi hajat rawa-e-alam ho

Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho

Tum dua-e-janab-e-zahra se

Pursadar-e-janab-e-adam ho

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
4. Bas junoon-o-jabal jilawatni

Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi

Kitne dana the tere diwane

Umr bhar teri nokri karli

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

Almadad (maula raza) x3
5. Tera beta imam-e-zamin hai

Jiske qabze mei raat hai din hai

Wo khurasaan ka hai shehzada

Har shifa uske dar pe mumkin hai

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
6. Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi

Uski chowkat pe de sada jo bhi

Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai

Ghamse milti hai usko aazaadi

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
7. Tere taboot ki wo tanhaayi

Na tha beta ghareeb na bhaayi

Chand mazboor aye ujrat par

Lash raste se teri uthwaayi

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
8. Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei

Karbala samara ke raste mei

Bekafan momino(n) ke laashe hai

Kufr dakhil huwa madine mei

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
9. Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai

Tera sikka jahaa(n) waaij hai

Ham to har imtihaa(n) se guzrenge

Dene wala tuhi nataij hai

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2
10. Tu bhi Rehan istighasa kar

Kehke ya Musa ya bin-e-jafar

Nauha goyi karu qayamat tak

Aur ghulaami karu dar-e-shah par

Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim) x2

(Yabn-e-jaffar abur-raza) x2 Abur-raza