Matam na rukega

- Imran Mehdi (2012)


Har ek sadi ka rehnuma.....
Khuda ke deen ki baqa...
Wo naam hai husain...(2)

sada ye gunji koo ba koo...
Jaha khuda waha hai tu..
Jagah jagah har ek su...
Hai jis jagah jahan e hoo...
Waha ye shor o shain hai.... Husain(3)
Wo naam hai husain..(2)

Bachaya deen e kibriya..
Diya khuda ne ye sila..
Ye arsh se pukarta hai khaliq e husain..
Ali ke laal fatema zehra ke dil ke chaen..
Wo naam hai husain..(2)

Wada hai mera ab tera parcham na jhukega..(2)
Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

1- Ruk sakta nahi matam e shabbir kabhi bhi.
Mit sakti nahi deen ki tasveer kabhi bhi.
Bujh sakti nahi shamm e jahaa'n meer kabhi bhi.
Dhal sakti nahi noor ki tanveer kabhi bhi.
Ye karwan e ishq hai chalta hi rahega.
Ye aisa diya hai k jo bujhkar bhi jalega..

Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

2- ye gham hai wo gham jisse hai tauheed ka weqaar.
Karta hai isi gham se khuda ka nabi bhi pyaar.
Bani hai iski binte ali zainab e ghamkhwaar.
Is gham ke muhafiz bane abbas e alamdaar
Khud sahebaa'n abbas e alamdar rahenge
Ta hashr salamat yeh azadar rahenge..

Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

3- Haa saiyad e sajjad ki sunnat hai yeh matam..
Sach puchho to is deen pe rehmat hai ye matam..
Aadat nahi hum logo ki fitrat hai ye matam..
Jo jaanta hai ye ke sa'adat hai ye matam..
Wo qabr me bhi matam e shabbir karega..
Aur shehre khamosha se yahi shor uthega..

Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

4- Zainab ne ye matam bandhe haatho se kiya hai..
Sajjad ne rote hue palko'n se kiya hai..
Aur bali sakina ne to ashqo'n se kiya hai..
Sughra ne madina me ye aaho'n se kiya hai..
Zehra o ali mustufa karte hai falak par..
Karte hai azadaar ise farsh bichhakar..

Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

5- nauhe ki azaano pe bichhegi saf e matam..
Lau shamm e gham e shaih ki na hogi kabhi maddham..
Ghar ghar se uthega mere abbas ka parcham..
Ayegi sada khana e kaba se ye paiham..
Karne ko gham husain ka ab rabke maqaa'n me..
Jo hadiy e dauraa'n hai wo aata hai jahaa'n me..

Al ajal ya imam..al ajal ya imam e zamana..
Matam na rukega..Matam na rukega...(3)

6- "Salman azmi" mera maula jab ayega
Farsh e azaa husain ka kaabe mei bichhega
Matam bapa husain ka "Imran" yu hoga
Shamil har ek shaheed bhi is gham me rahega
Bas ye ke azaadaro'n ka imaan rahega
Jo munkir e matam hai pashemaan rahega

Matam na rukega..Matam na rukega...(4)