Ek tehrir uthaye

- Asgar Khan (2011)


Ek tehrir uthaye boli darbar me aakar zahra logo main binte nabi hu

"aisa badla hai madina,apna haq mang rahi hu ghasib se
kalmago kursi nashi hai aur main kabse khadhi hu"
1.
jitne dukh maine sahe,
gar woh din per bhi padhe,
woh siyaha raat bane,
yehi hai gham kam to nahi hai istarah tanha. madine me huyi hu,
koi sunta hi nahi hai ke main kya bol rahi hu.

2. Aise khamosh ho kyun,
kehna chaho jo kaho,
amma kuch to bolo,
roke boli beto se,saath behno ka nibhana karbal me,
nange sar kaise chalegi bus yehi soch rahi hu.

3. Pucha haider ne bata,
kya kya masjid me hua,
roke bus itne kaha,
kabhi deewaro ko thama kabhi main khak pe baithi hu thak ker,
kabhi beto ne sambhala kabhi raste me giri hu.

4. Woh to kamsin hai abhi,
dur hai sham se bhi,
sehna payegi kabhi,
jab se zainab ne yeh puchha kaha jati ho batao aye amma,
maine zainab se chhupaya ke main darbar chali hu.

5. Mera haq chhin liya
ajr yeh mujhko diya
yeh sitam mujh pe kiya
mujhe darbar bulaya zakhm woh dil pe lagaya hai mere
mera dil khun hua hai sare darbar khadhi hu