Abbas mere sar ki qasam kha
- Irfan Haider (2007)
Abbas mere sar ki qasam kha
Abbas
Ghar se chale jab behre safar, (sibte payambar) x2
Kehne lagi abbas ki madar, (shere dilawar) x2
Eik nasihat karti hu(n) me, (ay mere dilbar) x2
Gham koi bhi shabbir ke ayega nahi paas, abbas
Ujrega na zehra ka bhara ghar, abbas mere sar ki qasam kha
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
- ay buzu-e shabbir wafadar qasam kha,
- jab tak tera shano pe rakha he ye tera sar,
- ye bazu nigehbaan hai zainab ki rida ke,
- saqa hai tu saqayi pe jaa(n) apni lutana,
- kar wada ke ye qafla hargiz na lutega,
- doran-e-safar dhyan rahe ehle haram ka,
- ye baat mere laal tujhe bhi to khabar hai,
- phir "mazhar-o-irfan" ye bola wo dilawar,
ujrega nahi zehra ka gharbar qasam kha,
rakh haath mere sar pe tu ik baar qasam kha, abbas,
aaqa pe fida hoga tera sar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
ayenge nahi khayma-e sarwar me sitaghar,
gar aaye su-e khayma laeeno ka wo lashkar, abbas
jaa(n) de ke bachana hai tujhe ghar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
narghe ho agar charo taraf ehle jafa ke,
tu rakhega shehzadi ko parde me chhupa ke, abbas
jaegi na shehzadi ki chadar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
pyasi ho agar aal-e-nabi paani pilana,
din raat sakina ko kaleje se lagana, abbas
roegi na shabbir ki dukhtar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
jis tarha chala ghar se ye waisa hi milenga,
ye jhula bhi aur jhoolne wala bhi rahenga, abbas
ajayenge ghar laut ke asghar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
har waqt unhe saya mile tere alam ka,
ik pal bhi na sadat ko ehsas ho gham ka, abbas
na dhup parhegi kabhi unpar
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
tu fatema zehra ki duawo(n) ka samar hai,
sarwar ho agar dhup me tu misle shajar hai, abbas
khanjar na chalega shahe dee(n) par
(abbas mere sar ki qasam kha) x2 abbas
ye jaan bhi qurban hai zehra ke pisar par,
kyu(n) aap ye kehti hai meri madar-e-muztar, abbas
lut jaye na zehra ka bhara ghar