al-madad maula raza
- Shahid Baltistani (2008)
Al madad, Maula Raza(a.s.) x 3
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
1) Tu hai masiha-e-jahaan, shahe Khurasaan hai laqab,
Yu har farishta roze par, aataa hai tere ba adab,
Haan rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua.
Nana Nabi dada Ali, dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)
2) Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu,
maange agar tujse koi, Daanaai bhi deta hai tu,
tu bhi to baab-e-ilm hai, Tu bhi to hai mushkil kushaa.

3) Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu,
Hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu,
Teri ataayain dekh kar, dushman ko bhi kehnaa padhaa.

4) Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar,
Lehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar,
Mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan.

5) Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan,
Jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan,
Maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa.

6) Roze se tere duur hai, ham to bohot majboor hai,
Aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se churr hai,
Tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa.

7) Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera,
Ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata,
Hai mohnis-o-yawar tu bhi, ibne shahide Karbala.

8) Rehan mujko hai yaqeen, maula Raza(a.s.) ki zaat se,
Ye naukri shabbir ki, jaaegi ab na haath se,
nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa.