Khanjar bohut qareeb hai amma

- Imran Mehdi (2011)


Amma....... Meri amma.....
Meri amma.....
Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Muh apna pher lijiye nana ka waasta.
Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Dekhogi kistarha se mere qalt ka samaa'n
Mere liye chalai hai raato'n ko chakkiya
Hargiz ye zulm aapse dekha na jaega..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Bachpan me mujhko pyaas jo karti thi bekarar
Paani mujhe pilati thi uth uth ke baarbaar
Aur aaj kitne roz se sukha hai ye gala.

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Bas itna soch soch ke dil ko nahi hai chaen
Khud apne zukhm bhul chuka hai tera husain
Kaatega shimr aapki goudi me sar mera

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Baarish se pathharo ki bohut khastatan hu mai
Sab jaante hai mujhko ghareebul watan hu mai.
Phir bhi paraye des me mujhpar sitam hua..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Hai jism mera teer e sina ke hisaar mei
Baithi hai meri bachhi mere intezar mei
Be aas hona uske muqaddar me hai likha..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Jab mujhko dhundti hui ayegi wo yaha
Amma batao usko sulaunga mai kaha
Hai jism mera teer e sitam se bhara hua..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Jeene ki dilme koi bhi hasrat nahi rahi
Akbar juda huve meri duniya ujad gai.
Baadal me barchhiyo ke mera chaand khogaya..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Abbas aur qasim o akbar ki shakl mei.
Aun o mohammad o ali asgar ki shakl mei
Mai qatl kitni bar hua dekhlo zara..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Puchho na kistarah se bani qabr e sheerkhaar
Ghurbat pe meri ashq bahati thi zulfiqar
Meri hi goud mei mera besheer margaya..

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)

Qaatil ka zulm dekhke ghabrai maa "SAEED"
Haye husain kehke jo chillai maa Saeed
Kistarha bhulpaega "IMRAN" wo sadaa

Khanjar bohut qareeb hai amma....(2)