Marsiya Imam Zamana

- Shadman Raza (2012)


ha ek aayenaa shabe ashoor tha wo maqtal kaa
hussain ne jo bataya hilaal ne dekha
ye hai imam e zamaana ki ghaibate kubra
ye farz kijiye lekar hame chale maula
wahaan hussain zameen par jagaa bataate hain
yahaan imam ye manzar hame dikhaate hain
 
1. Padi hui hai ye laashen lahu hai ab bhi rawaan
wo mera hurr e jari qatl hogaya mehmaan
jo karbala ke the ansaar de chuke hain jaan
dilon ko thaam lo logo to kuch karu mein bayaan
laraztaa ab bhi tane paash paash hai dekho
ye hai jo gathri ye qaasim ki laash hai dekho..(3)
 
2. Lahu me dubi huwi hai shabihe payghambar
jawaan ki laash pe girya kunaa hai har maadar
pisar ke seene se barchhi nikaal ni thi magar
na band ho sakaa wo zakhme sinaye akbar
dua karo ke ye ghaybat meri simat jaaye
ye zakhm dekh ke mera jigar na phat jaaye..(3)
 
3. Har ek dukh meri ghaybat ki kaayenaat me hai
ye karbala jo bapaa hai ye meri zaat me hai
mein ro raha hun meri zulfiqaar saath me hai
gale me teer hai asghar ki laash haath me hai
bahot qarib se mein shor o shein sunta hun
mein ab bhi maadare asghar ke bayn sunta hun..(3)
 
4. Lahu me dubi meri qaayenaat hai logo
jigar hai sokhta tashna hayaat hai logo
taweel ghaybate kubra ki raat hai logo
har ek shahid ki maa mere saath hai logo
har ek god hai khaali zahoor kab hoga
har ek maa hai sawaali zahoor kab hoga..(3)
 
5. Imam khaimaye ghaybat me ho gaye hain aseer
chidi huwi hai sina se rasool ki taswir
wo laashe qasim o abbas hai ye laashe saghir
har ek laash yahaan aake rakh gaye shabbir
are bachaa hi kaun tha maqtal se koyi aa na sakaa
mere hussain ka laasha koi utha na sakaa..(3)
 
6. Imam qatl huwe naasiron ko bhi khoya
na waqt ne kabhi is mere zakhm ko dhoya
na ek pal mein kisi raat chain se soya
hazaar saal mein chautees(34) saal ko roya
ye qaid khaane ka rastaa bur kab hoga
sakina putch rahi hai zahoor kab hoga..(3)
 
7. Hai mere zehn me wo qarb e aabide bimaar
khule saron ki aziyat wo shaam ka baazaar
agar che paas mere hai hussain ki talwaar
qamar me kya karun lashkar mera nahi tayyaar
ab inteqaam ka sab inhesaar tum par hai
mere zahoor ka daar o madaar tum par hai