Rahega sada Hussain

- Daniyal (2014)


Yaa hussain.....

Imam hussain .. (4)

Mit jaaega jaha'n yeh baaki na kuch na rahega .. (2)
Har ek payamber se Allah yeh kahega
Na mitt saka mitega na meri baqa Hussain .. (2)

Rahega sada hussain ...........hussain .. (2)

Naujawaan Naujawaan Haye Naujawaan
Karbala Akbar mera hai Naujawaan

1. Beta Hussain ka tha shakl-e-Mustafa Akbar
Tauheed pe hai vaar diya apna woh pisar
Akbar ke baad jhuk gayi shabbir ki kamar
Gham ka asar hua ke khatm hogayi nazar
Bete ke seene se nikaali jo sina Hussain .. (2)

Teero'n ke saayebaan mei shukre Khuda karu
(6)Chheh maah ka asgar bhi jo tujhe fida karu
Zakhmo'n se choor choor lahoo mei bhi hoke tann
Karbobala ki khaak pe sajda ataa karu'n
Yeh hausla toh bas hai Fatima ke laal ka
Hussain ban gaya jawab har sawal ka

2. Naize pe tadapta raha karta raha safar
Zainab ke sar se jab chhini tatheer ki chadar
Sajjad khoon rota raha tauq pehenkar
Ummat ne risaalat ko diya khoob yeh ajar
Noke sinaa pe kaun hai kaari siwa Hussain .. (2)

Shaheed-e-Karbala Hussain Imam hussain Imam hussain .. (2)

3. Sajda bacha gaya hussain deke apna sar
Abbas ke baazu diye Akbar ka bhi jigar
Haatho'n pe leke aagaya Asghar sare maqtal
Islam ke liye luta diya hai apna ghar
Har daur mein baatil ki bana hai qaza Hussain .. (2)

Zulmo ki ho rahi hai intehaan hussainiyo'n
Fir se yeh gham hai shaam mein barpa hussainiyo'n
Bechain madine mein Fatima hussainiyo'n
Markad mein ro raha hai Mustafa hussainiyo'n
Ab waqt aagaya hai ke aaye Imam-e-Mahdi
Baatil ka mite daur..... chale nizaame Mehdi

4. Mazloom hai Hussain aaj bhi teri behen
mismaar kar rahe hai roza shaami besukhan
Din raat Qayamat ka samaa'n shaam mein johar
Zainab qabar mein ro rahi hai shaami be watan
Iss daur-e-Yazeedi mein Mahdi banke aa Hussain
Rahega ab sada hussain ...........hussain .. (2)

Mit jaaega jahaan yeh baaki na kuch na rahega
Har ek payamber se Allah yeh kahega
Na mitt saka mitega na meri baqa Hussain .. (2)
Rahega sada hussain ...........hussain .. (2)

Shaheed-e-Karbala Hussain
Rahega sada hussain ...........hussain .. 

Shaheed-e-Karbala Hussain
Rahega sada hussain ...........hussain ..